Wednesday 7 September 2011

Sabne Pehana Tha Bade Shauk Se Kaagaz Ka Libaas

Sabne Pehana Tha Bade Shauk Se Kaagaz Ka Libaas
Jis Kadar Log The Baarish Mein Nahaane Wale

Adal Ke Tum Na Hume Aas Dilaao…
Katl Ho Jate Hai, Zanzeer Hilaane Wale…

Kisko Hogi Yahan Taufeek-E-Anaa Mere Baad…
Kuch To Socho Mujhe Sooli Pe Chadhaane Wale…

Marr Gaye Hum To Ye Katbe Pe Likhaa Jaayega…
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Wale…

Dar-O-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai "Qateel"
Jaane Kis Des Gaye Pyaar Nibhaane Wale…

Qateel Shifai

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath,

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum.

Yeh Jo Kahnder Sa Hey Dikh Raha, Kal Tha Phuloon Ka Piyara Chaman
Kal Thay Saya Jo Dujoon Ka Dekho Aaj Khud Hee Huway Bay Watan.

Suno Masoom Cheekhain Suno, Keh Rahi Hain Fasana Yeh Sab
Aami, Abba, Behna Na Bhaee, Hum Ko Loata Meray Piyaray RAB.

Aaj Yeh Saab Hain Muskil Mein Dekho, Kal Tumhari Hee Bari Na Hoo
Kiyoon Ho Pharay Huay Apna Chehra Jisay Mitti Tumhari Na Hoo.

Chalo Nibhaeen Fariza Yeh Apna, Dain Sahara Apnoon Ko Apna
Iss Se Pehlay Yeh Gulshan Hamara Ban Na Jayay Bhiyanak Sa Sapna.

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum.

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai,

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai,
Jidher Jatay Hain Ya Badal, Udher Jaoun To Behter Hai,

Ye Dil Kehta Hai, Teray Sheher Mai Kuch Din Theher Jaoun,
Magar Halaat Kehtay Hain, K Ghar Jaoun To Behter Hai,

Diloon Mai Farq Aain Gay, Taaluq Too Jayain Gay,
Jo Dekha Jo Suna, Us Say Ab Mukar Jaoun To Behtar Hai,

Yahaan Hai Kon Mera? Jo Mujhy Samjhay Ga.??
Main Koshish Kar K Ab Khud He, Badal Jaoun To Behter Hai…!!!

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha
Khabar Nahi Ke Sooruj Kidhar Se Nikla Tha

Ye Kon Phir Se Mujhy Raston Main Chor Gaya
Abhi Abhi To Azaab-E-Safar Se Nikla Nikla Tha

Ye Teer Dil Main Magar Be Sabab Nahi Utra
Koi To Hurf Lub-E-Charagar Se Nikla Tha

Men Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
Ke Dil Ka Zahar Meri Chusm-E-Tar Se Nikla Tha

Wo Qais Ab Jisay Majnoo Pokarty Hen Log
Meri Terha Koi Deewana Ghar Se Nikla Tha

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha
Mein Aap, Woh, Janab Se Aagay Nahi Barha

Muddat Hui Kitab-e-Mohabbat Shurru Kiye
Lekin Mein Pehle Baab Se Aagay Nahi Barha

Lambi Musawatein hein Magar Iss Sawar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahi Barha

Tool-e-Kalam Kay Liye Mein Ne Kiye Sawal
Woh Mukhtassar Jawab Se Aagay nahi Barha

Rukhsaar Ka Pata Nahi Aankhen To Khob hein
Darshan Abhi Naqaab Se Agay Nahi Barha

Woh Lazat-e-Gunnah Se Mehroom Hee Raha
Jo Khuwahish-e-Sawab Se Aagay Nahi Barha

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko
Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Os Ko

Jany Kis Ghum Ko Chupany Ki Tamana Hy Osy
Aj Har Bat Pr Hanste Howy Dekha Os Ko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Sy Chuwa Krta Tha
Hum Ne Pholon Ko Maslte Howy Dekha Os Ko

Najny Wo Duaon Mein Mangta Hy Kisy
Hath Uthaty Hi Sisakty Howy Dekha Os Ko

Phir Hath Dua K Liye Uthaay Hum Ne
Jb Muqdar Sy Uljhty Howy Dekha Os Ko. . .

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo,

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo, Is Sha’hr Men Jii Kaa Lagaanaa Kyaa
Vahshii Ko Sukuun Se Kyaa Matlab, Jogii Kaa Nagar Men Thikaanaa Kyaa

Is Dil Ke Dariidaa-Daaman Ko Dekho To Sahii, Socho To Sahii
Jis Jholii Men Sau Chhed Hue Us Jholii Ko Phailaanaa Kyaa

Shab Biitii, Chaand Bhii Duub Gayaa, Zanjiir Parii Darvaaze Men
Kyun Der Gaye Ghar Aaye Ho, Sajnii Se Karoge Bahaanaa Kyaa

Us Husn Ke Sachche Motii Ko Ham Dekh Saken, Par Chhuu Na Saken
Jise Dekh Saken Par Chhuu Na Saken Vo Daulat Kyaa Vo Khazaanaa Kyaa

Us Ko Bhii Jalaa Dukhte Hue Man, Ik Sholaa Laal Bhabhuukaa Ban
Yun Aansuu Ban Beh Jaanaa Kyaa, Yun Maatii Men Mil Jaanaa Kyaa

Jab Sha’hr Ke Log Na Rasta Dekhen, Kyun Ban Men Na Jaa Vishraam Kare
Diivaanon Kii Sii Na Baat Kare, To Aur Kare Diivaanaa Kyaa

Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa Karte

Ab Bhalaa Chhor Ke Ghar Kyaa Karte
Shaam Ke Vaqt Safar Kyaa Karte

Terii Masruufiyaten Jaante The
Apne Aane Kii Khabar Kyaa Karte

Jab Sitaare Hii Nahiin Mil Paaye
Le Ke Ham Shams-O-Qamar Kyaa Karte

Vo Musaafir Hii Khulii Dhuup Kaa Thaa
Saaye Phailaa Ke Shajar Kyaa Karte

Khaak Hii Avval-O-Aakhir Thahrii
Kar Ke Zarre Ko Gauhar Kyaa Karte

Raaye Pehle Se Hii Banaa Lii Tuune
Dil Men Ab Ham Tere Ghar Kyaa Karte

Ishq Ne Saare Saliiqe Bakhshe
Husn Se Kasb-E-Hunar Kyaa Karte

Chalo Kuch Dair Hastay Hain



Chalo Kuch Dair Hastay Hain …
Muhabbat Par Inayat Par …
K B-Bunyad Baten Hain …
Sabhi Rishtay Sabhi Natay …
Zarurat Ki Hain Eejaaden …
Kahin Koi Nahi Merta Ksi K Wastay Jana …
K Sub Hai Phair Lafzoon Ka …
Hai Sara Khail Herfon Ka …
Nahi Hai Mehboob Koi B …
Sabhi Jumlay Say Kastay Hain …
Chalo Kuch Dair Hastay Hain …
Usi Ko Yaad Kertay Hian …
Jisay Hum Zeest Kehtay Hain ..
K Lena Sans Bin Jis K …
Humain Ik Jurm Lagta Tha …
Bala Ka Taiz Lagta Tha …
Jo Saya Bun K Rehta Tha …
Juda Ab Us K Rastay Hain …
Chalo Kuch Dair Hastay Hain

Gulab Rut Main Haseen chehro Hamain btao Udas kyn ho

Gulab Rut Main Haseen chehro Hamain btao Udas kyn ho!!
Dilon pe Beeti sari kahaniyan Sub sunao udas kyun ho!!

Jo Ranjishain Dil main pal rahi hain Munafqat main jo Dhal rahi hain
Bhula k shikwe,Mita k doori Galay lgao udas kyun ho!!

Kitab-e-Dil k tamam safhon p hum ne likha hai lafz muhabbat
Hamain hamari wafa k agay Saza sunao udas kyn ho!!

Farreb khana bhi mashghala hai Fareeb dena bhi mashghala hai
To dil k mlutne p kaisa maatam  Khushi manao Udas kyn ho!!

Tuesday 6 September 2011

Piya Baaj Pyala Piya Ja'ay Na

Mujhay Aisi Doori Ki Aadat Nahin Thi
Ke Jo Zindgi Ki Ragon Say
Jawan Khoon Ki
Aakhri Boond Takk Khainch Lay,
Jism Ka Khaet Banjar Karay,

Iss Li'ay Jabb Say Too
Uss Safar Parr Gaya
Main Nay Aaiyna Dekha Nahin,
Saari Dunya Say
Aur Aasman Takk Say Parda Kiya,

Main Nay Sardi Mein Dhoop
Aur Garmi Mein Sa'ay Ki Parwa Na Ki,
Zindgi Ko Na Samjha Kabhi Zindgi,
Aad'tann Saans Li!

Bhook To Marr Ga'ei Thi
Juda'ei Ki Pehli Hi Sa'att Mein
Lekin Abhi Pyaas Baaqi Hai
Aur Aisi Zalim, Ke Meray Badan Parr
Babool Ugg Rahay Hain,
Zuban Parr Bhi Kantay Paray Hain,

Mujhay Aisi Doori Ki Aadat Nahin Hai
Ke Jo Mot Aur Zindgi Mein
Ko'ei Farq Rehnay Na Day
Phirr Bhi Yeh Jaan Lay---
Garr Mujhay Chashma E Aab E Hewan
Bhi Mill Ja'ay--- Ikk Boond
Teray Bina, Mujh Pe Ja'yez Nahin!

Samina Raja

Teray Dhyan Mein

Ga'ei Raat Bhi, Roaz Ki Tarah
Main Bass Teray Dhyan Mein
So Ga'ei Thi
Ajab Khwab Mein Kho Ga'ei Thi
Buhat Door Chalta Huwa Rasta
Aik Jangal Mein Ja Karr
Kahien Rukk Gaya Tha,
Sitaron Bhara Aasman
Iss Zamien Ki Taraf Jhukk Gaya Tha!

Samina Raja

Tera Naam

Tera Naam Din Kay Zewal Parr,Meri Roshni
Tera Naam Shaam-E-Safar,Sitara-E-Rehbari
Tera Naam Shehr-E-Malal Mein,Kaff-E-Dosti
Tera Naam,Meri Mataa-E-Jan,Meri Sha'eyri
Mujhay Harr Para'o Pe Chahi'ay,
Teri Hammdami

Samina Raja

Kisi Kay Husn-E-Nazar Ki Nazeer Hoon Main Bhi

Kisi Kay Husn-E-Nazar Ki Nazeer Hoon Main Bhi
Nigah-E-Ahl-E-Jahan Mein Haqeer Hoon Mein Bhi

Agar Too Haqa-E-Shaam-O-Sahar Mein Qaid Raha
To Zindgi Kay Qafas Mein Aseer Hoon Mein Bhi

Meray Wujood Mein Jalti Iss Aag Parr Matt Jaa
Agar Too Door Rahay,Zemhareer Hoon Mein Bhi

Teray Wujood Say Munkir Jahan Mein Thi, Main Hi
Teri Nigaah Ki Abb To Aseer Hoon Main Bhi

Meray Li'ay Bhi Rahain Abb Faza'ein Chashm Baraah
Saba Kay Sath Khizan Ki Safeer Hoon Main Bhi

Wafa To Sath Nibhanay Ka Ik Bahana Hai
Riwaj Ki Teri Soorat,Aseer Hoon Main Bhi

Main Sirf Jism Nahin, Aik Zinda Rooh Bhi Hoon
Khuda Kay Baad,Samee-O-Baseer Hoon Main Bhi

Samina Raja

Teray Naam Kay Sath

Muskuranay Lagi Sehmi Huwi Raat
Khill Ga'ay Charon Taraf Phool Hi Phool
Ko'ei Khushboo Si Mujhay Choo Kay Chali
Gungunanay Lagi Phir Baad-E-Saba

Yoonhi Baton Mein Nikal Aa'ei Thi Baat
Yoonhi Ik Shakhs Nay Anjanay Mein
Aur Hi Logon Kay Afsanay Mein

Lay Liya Naam Mera
Aaj Teray Naam Kay Sath!

Samina Raja

Koi Nama Barr Nahin Hai

Na Hawa Ka Narm Jhonka
Na Jamal Chandni Ka
Na Ko'ei Haseen Badal
Na Kisi Karam Ki Barish
Na Ko'ei Gudaz Lehja
Na Kisi Nazar Ki Jumbish

Teray Raastay Pe Mera
Ko'ei Hammsafar Nahin Hai
Tujhay Khatt Likhoon Agar To
Ko'ei Nama Barr Nahin Hai!

Samina Raja

Bansuri

Raat Ki Pur Fusoon Khamoshi Hai
Chandni Phelti Hai Raston Parr
Bansuri Ki Sada Suna'ei Di
Yoon Hawa Ki Udaas Lehron Parr

Soach Parr Chha Rahi Hai Mayoosi
Rannj Ghulnay Laga Hai Rahat Mein
Neend Mein Jabb Hai Poora Ga'on To
Kon Roata Hai Dard-E-Furqat Mein?

Samina Raja

Achanak

Sard Thay Hoant
Buhat Zard Thi Yeh Shakh-E-Badan
Sakht Pathraei Howi Theen Aankhein
Dasht Ki Tarah Thi Sari Dunya
Aasman,Dard Ka Lamba Sehra

Janay Kya Baat Chali Baaton Say
Janay Kis Tarha Tera Zikr Chhira
Aisa Lagta Hai Tann-E-Murda Mein
Rooh Phoonki Hai Kisi Nay Taaza

Samina Raja

Hairaan Karr Ga'ei Hai

Hairaan

Honton Pay Gull Khila Karr
Zulfain Meri Ura Karr
Aanchal Say Baat Karr Kay
Aagay Guzar Ga'ei Hai

Teri Tarah Say Choo Karr
Baad-E-Saba To Mujh Ko
Hairaan Karr Ga'ei Hai

Samina Raja

Ajnabi Aa'o! Dekho, Umangon Ki Naokhez Kalyan

Ajnabi Aa'o

Ajnabi Aa'o!
Dekho, Umangon Ki Naokhez Kalyan
Jo Murjha Rahi Hain,

Tumharay Liay Waqt,Chanchal Parinda
Meray Saans Pathar Talay Dabb Rahay Hain
Meri Umr Kuchh Katt Chuki Hai
Jo Baqi Hai-Ik Karb Mein Katt Rahi Hai

Agar Ajnabi Tumm Na Aa'o---
To Peghaam Bhejo
Agar Ko'ei Chanchal Parinda Milay
Waqt Ka
Uss Ki Gardan Mein Bandho
Ko'ei Sabz Kaghaz
Ko'ei Sabz Kaghaz Ke Jiss Parr Likho
Apnay Hathon
Anokhi,Purasrar,Sabb Ranng Tehreer

Phir Woh Parinda-Meri Samt Bhejo
To Phir Ajnabi! Woh Parida
Agar Ho Sakay To
Meray Saans Pathar Talay Say Nikalay
Mera Karb Chakhay

Woh Kaghaz, Tumhari Purasrar,Sabb Ranng
Tehreer Wala,
Ko'ei Sabz Taweez Karr Kay
Meri Sooni Gardan Mein Dalay!

Samina Raja

Yarabb! Labb-E-Khamosh Ko Aisa Kamal Day

Yarabb! Labb-E-Khamosh Ko Aisa Kamal Day
Jo Guftgoo Kay Saray Hi Lehjay Ujal Day

Soaz-E-Duroon-E-Qalb Ko Itna Jamal Day
Jo Mujh Ko Aik Shamma Kay Qalib Mein Dhal Day

Woh Khwab Marhamat Ho Ke Aankhein Chmak Uthein

Woh Sarr Khushi Ata Ho Ke Dunya Misal Day

Woh Harf Likh Sakoon Ke Banay Harf-E-Purr Asar
Ik Kaam Karr Sakoon Too Mujhay Garr Majal Day

Main Apni Sha'eyri Kay Li'ay Aa'eina Banoon
Rahat Nahin,Too Mujh Ko Baqa'ay Malal Day

Teray Hi Aastan Pe Jhuki Ho Jabeen-E-Dill
Apnay Hi Darr Kay Wastay Khoo'ay Sawal Day

Samina Raja 

Kya Aah Bharay Koei

Kya Aah Bharay Koei

Jab Aah Nahin Jati Dil Say Bhi Zara Gehri
Aur Arsh Say Kuchh Oonchi

Kya Nazm Likhay Koei
Jabb Khwab Ki Qeemat Mein
Aadarsh Ki Soorat Mein
Kashkoal Gada'ei Ka
Sha'er Ko Diya Jaey
Aur Roak Liya Jaey
Jabb Shaer Utarnay Say
Badal Say Zara Oopar
Taron Say Zara Neechay

Kya Khaak Likhay Koei
Jabb Khaak Kay Medan Par
Ungli Ko Hilanay Say
Toofan Nahin Uth'ta
Jabb Shakh Pay Imkan Ki
Iss Dasht-E-Tamanna Mein
Ik Phool Nahin Khilta
Rahwar Nahin Ruktay
Mohoam Si Manzil Par
Aankhon Kay Isharay Say
Aur Noor Ki Boondon Ki
Bochhar Nahin Hoti
Ik Neelay Sitaray Say

Jabb Dil Kay Bulaway Par
Iss Jheel Kanaray Par
Peghaam Nahin Aata
Ik Door Ka Bashinda
Ik Khwab Ka Shehzada
Gulfaam Nahin Aata

Basti Mein Koei Aurat
Raton Ko Nahin Soati
Jaagi Huwi Aurat Ki
Soei Huwi Qismat Par
Jabb Koei Bhi Deewana
Be Chain Nahin Hota
Dehleez Kay Pathar Say
Takra Kay Jabin Apni
Ik Shakhs Nahin Roata

Jabb Neend Kay Shedaei
Khwabon Ko Tarastay Hain
Aur Dekhnay Kay Aadi
Binaei Say Dartay Hain
Reh Reh Kay Andheray Say
Aankhon Mein Utartay Hain

Aankhon Kay Ujalon Say
In Phool Say Bachchon Say
Keh Do K Na Abb Nangay
Paa'on Say Chalein Ghar Mein
Iss Farsh Pay Matti Kay
Abb Ghaas Nahin Ugti
Abb Saanp Nikaltay Hain
Deewar Say Aur Darr Say

Abb Noor Ki Boondon Say
Mehki Howi Matti Mein
Anmoal Ujalay Kay
Woh Phool Nahin Khiltay
Abb Jheel Kanaray Parr
Bichhray Bhi Nahin Miltay
Basti Mein Koei Aurat
Ratoan Ko Nahin Soati
Aur Jagnay Walon Say
Bbb Nazm Nahin Hoti

Kya Nazm Likhay Koei
Jabb Jagnay,Soanay Mein
Paa Lenay Mein, Khonay Mein
Jabb Baat Kay Honay Mein
Aur Baat Na Honay Mein
Kuchh Farq Na Reh Jaey
Kya Baat Karay Koei !

Samina Raja

Monday 5 September 2011

Jab Se Utre Hain Azab Ankhon Mai


Jub Se Utre Hen Azab Ankhon Mai
Tub Se Jalne Lage Hen Khuwab Ankhon Mai

Wajah E Barbadi Pochne Walo Dekh Lo Tum Bhi
Hum Lie Phirte Hen Jawab Ankhon Mai

Na Gila Hy Kisi Se Na Hi Shikwa Muqaddar Se
Hum Tu Fana Huwe Hen In Nayab Ankhon Se

Wo Baat Humari Na Samajh Paen Tu Gila Kesa
Quful Hy Zaban Pe Our Hijaab Ankhon Mai

Zikar E Umeed Hum Laen Tu Kahan Se Aey Dost
Bhar Die Hen Us Ne Kante Gulab Ankhon Mai

Jhuka Hy Humara Sir Tu Jhuka Hi Rehne Do
Uthi Jo Nazar Tu Pao Gaey Sabhi Ataab Ankhon Mai

Chaht Ka Ek Mitha Mitha Dard


Chahat Ka Ek Mitha Mitha Dard Jagane Sham Dhale 
Teri Yadein A Jati Hain Mujhko Rulane Sham Dhale 

Teri Zulfein In Kandhon Par Tera Chehra Hathon Mein 
Main Ne Bhi Dekhe Hain Kitne Khwab Suhane Sham Dhale 

Har Din Ham Se Wada Kar K Yun Hi Agar Tarpaoge 
Ik Din Yun Hi Ho Jayeinge Ham Bhi Diwane Shaam Dhale 

Din K Ujale Mein To Mana Lun Lakh Yatan Se Bahla Lun 
Lekin Dil Ka Pagal Panchi Ek Na Mane Shaam Dhale

Saturday 3 September 2011

Ik Pall Ko,Na Raat So Saki Main


Ik Pall Ko,Na Raat So Saki Main
Uss Khwab Ki Aas Mein Rahi Main

Jab Dheyan Mein Aa Gaya Woh Chehra
Sonay Kay Bajaey, Roa Pari Main

Bass Aik Hi Yaad Mein Garifta
Dil Thaam Kar Apna Reh Gaei Main

Bass Aik Hi Ranj Say Shikasta
Kion Uss Say Bhala Juda Huwi Main

Bass Aik Khayal Dil Pay Taari
Woh Jagta,Sath Jagti Main

Hota Woh Agar Qareeb Meray
Phir Chhoo Kay Bhi Uss Ko Dekhti Main

Khush Baash Rahay,Sada Jiey Woh
Par Uss Say Bichhar Kay Marr Gaei Main

Zahir Mein To Sans Lay Rahi Thi
Zinda Thi Bagher-E-Zindgi Main

Chandi Say Badan Pay Tha Andhera
Uss Chand Say Kitni Door Thi Main

Samina Raja

Aankhon Pay Khulay Hain Pankh Iss Kay


Aankhon Pay Khulay Hain Pankh Iss Kay
Ik Aas Mujhay Sula Rahi Hai

Chhatri Pay Sajay Hain Kuchh Kabootar
Aur Chandni Jhhilmila Rahi Hai

Thhandak Hai Badan Mein Iss Bala Ki
Ab Barf Mujhay Jala Rahi Hai

Kis Shakl Ko Bhoolnay Lagi Main
Kya Zeest Mujhay Bhula Rahi Hai

Peeni Hai Nabeez-E-Ishq Mujh Ko
Woh Aankh Agar Pila Rahi Hai

Phir Zindgi Jaisay Dartay Dartay
Ranngon Say Nazar Mila Rahi Hai

Samina Raja

Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat


Shamma Ki Tarha Yeh Shola Bhi Tha Ik Raat Ki Baat
Ab Khuli Ham Pay Teri Chashm-E-Mdaraat Ki Baat

Ham K Jis Baat Pay Tajj Aay Thay Saari Dunya
Teray Nazdeek Hamesha Woh Rahi Baat Ki Baat

Teray Altaaf Ki Barish Say Shraboor Tha Dil
Yaad Parti Hai Yeh Guzri Hoei Barsaat Ki Baat

Aankh Mein Jesay Kisi Khwab Nagar Ka Manzar
Hoant Par Us Kay Kisi Shehr-E-Tilismaat Ki Baat

Khud Framoshi Ki Ummid Pay Aa Bethay Thay
Chhaer Di Too Nay Bhi Aakhir,Wohi Halaat Ki Baat

Jesay Ik Umr Pay Chhaei Ho Syahi Iss Ki
Yeh Gham-E-Hijr Hai Kehnay Ko To Ik Raat Ki Baat 

Samina Raja

Ik Hasrat-E-Aab Ho Gaei Hoon


Ik Hasrat-E-Aab Ho Gaei Hoon 
Main Khud Hi Saraab Ho Gaei Hoon

Likhi Hoon Ik Ajnabi Zaban Mein
Honay Ko,Kitaab Ho Gaei Hoon

Ik Khwab Mein Jii Rahi Thi Ab Tak
So Khwab Hi Khwab Ho Gaei Hoon

Tha Kitna Saja Huwa Yeh Chehra
Aur Kesi Kharab Ho Gaei Hoon

Ginta Jo Raha Woh Mujhh Ko Har Pal
Be Hadd-O-Hisab Ho Gaei Hoon

Gohar Thi Kabhi Dil-E-Sadaf Mein
Ab Naqsh Br Aab Ho Gaei Hoon

Karti Thi Sawal Zindgi Say
Ab Apna Jawab Ho Gaei Hoon

Too Bethh Kinar-E-Ishq, Main To
Sohni Ka Chanab Ho Gaei Hoon

Ab Toar Liya Chaman Say Rishta,
Jangal Ka Gulaab Ho Gaei Hoon

Samina Raja

Kanton Mein Gulab Dekhti Hoon


Kanton Mein Gulab Dekhti Hoon
Main Aaj Bhi Khwab Dekhti Hoon

Ik Ranjish-E-Be Sabab Kay Ba'is
Khana Hi Kharab Dekhti Hoon

Aankhon Mein Dhuwan Sa Bhar Raha Hai
Manzil Ko Sarab Dekhti Hoon

Ik Harf-E-Ghalat Huwi Hoon Jiss Mein,
Hasti Ki Kitab Dekhti Hoon

Aankhein Jo Khulin,To Khud Pay Khultay
Tanhaei Ka Baab Dekhti Hoon

Samina Raja

Merey Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse


Aj Tery Liye Eik Mazeer E Ulfat Hi Sahi. . . 
Tujhko Iss Vaadi-E-Rangeen Se Aqeedat Hi Sahi. . . 

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse. . . !!!


Bazm-E-Shahi Mein Gareebon Ka Guzar, Kya Maani?
Sabt Jis Raah Pe Ho Satavat-E-Shaahi Ke Nishaan. . . 
Uss Pe Ulfat Bhari Rooho Ka Safar Kya Maani?

Mery Mehboob Pas-E-Parde-E-Tash Heer-E-Wafa. . . 
Toone Satavet Ke Nishano Ko Too Dekha Hota. . . 
Murda Shahon Ke Maqabir Se Behalne Waaly. . . 
Apne Taarek Makanon Ko Too Dekha Hota. . . 

Anginat Logon Ne Duniya Mein Mohabbat Ki Hai. . . 
Kaun Kehta Hai Ke Sadiq Na They Jazbe Unke. . . 
Lekin Unke Liye Tash Heer Ka Samaan Nahin. . . 
Kyon K Woh Log Bhi Apni Hi Tarah Muflis They. . . 

Yeh Imarat-O-Maqabir, Yeh Faseele, Yeh Hisaar. . . 
Mutal-Kul-Hukm Shehenshahon Ki Azmat Ke Sutoon. . . 
Daaman-E-Dehar Pe Us Rang Ki Gulkari Hai. . . 
Jisme Shaamil Hai Tere Aur Mere Ajdaad Ka Khoon. . . 

Mery Mehboob! Unhe Bhi Too Mohabbat Hogi. . . 
Jinki Sannai Ne Baqshi Hai Isse Shakl-E-Jameel. . . 
Unke Pyarron Ke Maqabir Rahe Be-Naam-O-Namood. . . 
Aaj Tak Un Pe Jalai Na Kisi Ne Kindeel. . . 

Yeh Chamanzaar, Yeh Jamna Ka Kinara, Yeh Mahal. . . 
Yeh Munakkash Dar-O-Deewar, Yeh Mehraab, Yeh Taaq. . . 
Eik Shehenshah Ne Daulat Ka Sahara Lekar. . . 
Hum Ghareebon Ke Mohabbat Ka Udaya Hai Mazak. . . 

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse. . . !!!

Yeh Gham Nahin Ke Tera Gham Saha Nahin Jata


Yeh Gham Nahin Ke Tera Gham Saha Nahin Jata
Sitam Yeh Hai Ke Kisi Say Kaha Nahin Jata

Jo Shakhs Sail-E-Zamana Ka Rukh Badalta Raha
Bahao Pr Bhi Ab Us Say Baha Nahin Jata

Hamesha Tark-E-Muhabbat Ka Azm Krtay Hain
Hamesha Hm Say Hi Qaaym Raha Nahin Jata

Ajab Hai Kya Tujhay Puhncha Nahin Agar Zr-E-Khwab
K Qatilon Ko Kabhi Khoonbaha Nahin Jata

Sda Say Khud Pe Raha Ikhtiar Lekin Aaj
Woh Bekali Hai K Hm Say Raha Nahin Jata

Samina Raja

Dekha Nahin Iss Misal Ka Chand


Dekha Nahin Iss Misal Ka Chand
Sehra Mein Laga Kamal Ka Chand

Reh Reh Kay Ufuq Say Jhankta Hai
Sharmaya Huwa, Wisal Ka Chand

Mshriq Say Ajab Hawa Chali Thi
Gul Honay Laga Shimal Ka Chand

Lao Day Uthay Pichhlay Saal Kay Dukh
Nikla Hai Jo Aglay Saal Ka Chand

Bujhti Hai Teri Nigah Ya Phir
Dhalta Hai Meray Jamal Ka Chand

Chehra Jo Tera Na Dekh Paei
Kya Dekhti Phir Shewal Ka Chand

Samina Raja

Thursday 1 September 2011

Jan Ka Rog Ban Jata Aik Din Malal Us Ka


Jan Ka Rog Ban Jata Aik Din Malal Us Ka
Sard Khana-E-Dil Mein Rakh Diya Khayal Us Ka

Aik Din Ki Doori Par,Khwab-E-Wasl Roshan Hai
Shab Hoei To Aay Ga Dheaan Mein Jamal Us Ka

Phool, Muskurahat Aur Chnd Hsraton Kay Sath
Poochnay Gaey Hm Bhi, Aik Roaz Haal Us Ka

Natawan Hai Kuch Dil Bhi,Kuch Swal Bemani
Toar Kr Nikal Aay Aur Woh Bhi Jaal Us Ka?

Ham Jawab Kya Detay, Khud Sawal Ban Bethay
Is Qadar Achanak Tha,Ham Say Ik Sawal Us Ka

Samina Raja