Wednesday 7 September 2011

Sabne Pehana Tha Bade Shauk Se Kaagaz Ka Libaas

Sabne Pehana Tha Bade Shauk Se Kaagaz Ka Libaas
Jis Kadar Log The Baarish Mein Nahaane Wale

Adal Ke Tum Na Hume Aas Dilaao…
Katl Ho Jate Hai, Zanzeer Hilaane Wale…

Kisko Hogi Yahan Taufeek-E-Anaa Mere Baad…
Kuch To Socho Mujhe Sooli Pe Chadhaane Wale…

Marr Gaye Hum To Ye Katbe Pe Likhaa Jaayega…
So Gaye Aap Zamaane Ko Jagaane Wale…

Dar-O-Deewaar Pe Hasrat Si Barasti Hai "Qateel"
Jaane Kis Des Gaye Pyaar Nibhaane Wale…

Qateel Shifai

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath,

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum.

Yeh Jo Kahnder Sa Hey Dikh Raha, Kal Tha Phuloon Ka Piyara Chaman
Kal Thay Saya Jo Dujoon Ka Dekho Aaj Khud Hee Huway Bay Watan.

Suno Masoom Cheekhain Suno, Keh Rahi Hain Fasana Yeh Sab
Aami, Abba, Behna Na Bhaee, Hum Ko Loata Meray Piyaray RAB.

Aaj Yeh Saab Hain Muskil Mein Dekho, Kal Tumhari Hee Bari Na Hoo
Kiyoon Ho Pharay Huay Apna Chehra Jisay Mitti Tumhari Na Hoo.

Chalo Nibhaeen Fariza Yeh Apna, Dain Sahara Apnoon Ko Apna
Iss Se Pehlay Yeh Gulshan Hamara Ban Na Jayay Bhiyanak Sa Sapna.

Aao Mil Ke Le Kar Hathoon Mein Haath, Aoa Sab Ka Sahara Banain Hum
Yeh Kashti Hay Tufaan Mein Apni, Aao Uska Kinara Banain Hum.

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai,

Sarapa Ashk Hoon, Mai Ab Bikhar Jaoun To Behtar Hai,
Jidher Jatay Hain Ya Badal, Udher Jaoun To Behter Hai,

Ye Dil Kehta Hai, Teray Sheher Mai Kuch Din Theher Jaoun,
Magar Halaat Kehtay Hain, K Ghar Jaoun To Behter Hai,

Diloon Mai Farq Aain Gay, Taaluq Too Jayain Gay,
Jo Dekha Jo Suna, Us Say Ab Mukar Jaoun To Behtar Hai,

Yahaan Hai Kon Mera? Jo Mujhy Samjhay Ga.??
Main Koshish Kar K Ab Khud He, Badal Jaoun To Behter Hai…!!!

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha

Ajab Junoon-E-Musafat Main Ghar Se Nikla Tha
Khabar Nahi Ke Sooruj Kidhar Se Nikla Tha

Ye Kon Phir Se Mujhy Raston Main Chor Gaya
Abhi Abhi To Azaab-E-Safar Se Nikla Nikla Tha

Ye Teer Dil Main Magar Be Sabab Nahi Utra
Koi To Hurf Lub-E-Charagar Se Nikla Tha

Men Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
Ke Dil Ka Zahar Meri Chusm-E-Tar Se Nikla Tha

Wo Qais Ab Jisay Majnoo Pokarty Hen Log
Meri Terha Koi Deewana Ghar Se Nikla Tha

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijjab Se Aagay Nahi Barha
Mein Aap, Woh, Janab Se Aagay Nahi Barha

Muddat Hui Kitab-e-Mohabbat Shurru Kiye
Lekin Mein Pehle Baab Se Aagay Nahi Barha

Lambi Musawatein hein Magar Iss Sawar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahi Barha

Tool-e-Kalam Kay Liye Mein Ne Kiye Sawal
Woh Mukhtassar Jawab Se Aagay nahi Barha

Rukhsaar Ka Pata Nahi Aankhen To Khob hein
Darshan Abhi Naqaab Se Agay Nahi Barha

Woh Lazat-e-Gunnah Se Mehroom Hee Raha
Jo Khuwahish-e-Sawab Se Aagay Nahi Barha

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko

Mom Ki Tarha Pighlte Howy Dekha Os Ko
Rut Jo Badli To Badlty Howy Dekha Os Ko

Jany Kis Ghum Ko Chupany Ki Tamana Hy Osy
Aj Har Bat Pr Hanste Howy Dekha Os Ko

Wo Jo Kanton Ko B Narmi Sy Chuwa Krta Tha
Hum Ne Pholon Ko Maslte Howy Dekha Os Ko

Najny Wo Duaon Mein Mangta Hy Kisy
Hath Uthaty Hi Sisakty Howy Dekha Os Ko

Phir Hath Dua K Liye Uthaay Hum Ne
Jb Muqdar Sy Uljhty Howy Dekha Os Ko. . .

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo,

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo, Is Sha’hr Men Jii Kaa Lagaanaa Kyaa
Vahshii Ko Sukuun Se Kyaa Matlab, Jogii Kaa Nagar Men Thikaanaa Kyaa

Is Dil Ke Dariidaa-Daaman Ko Dekho To Sahii, Socho To Sahii
Jis Jholii Men Sau Chhed Hue Us Jholii Ko Phailaanaa Kyaa

Shab Biitii, Chaand Bhii Duub Gayaa, Zanjiir Parii Darvaaze Men
Kyun Der Gaye Ghar Aaye Ho, Sajnii Se Karoge Bahaanaa Kyaa

Us Husn Ke Sachche Motii Ko Ham Dekh Saken, Par Chhuu Na Saken
Jise Dekh Saken Par Chhuu Na Saken Vo Daulat Kyaa Vo Khazaanaa Kyaa

Us Ko Bhii Jalaa Dukhte Hue Man, Ik Sholaa Laal Bhabhuukaa Ban
Yun Aansuu Ban Beh Jaanaa Kyaa, Yun Maatii Men Mil Jaanaa Kyaa

Jab Sha’hr Ke Log Na Rasta Dekhen, Kyun Ban Men Na Jaa Vishraam Kare
Diivaanon Kii Sii Na Baat Kare, To Aur Kare Diivaanaa Kyaa