Sunday, 23 May 2010

JANUARY LOUT AYEE HAI

wohi galiyaan,wohi koochey,wohi sardi ka mousam
isi andaaz sey apna nizaam-e-zeast berham hai
ye husn-e-ittifaq aisa kai nikhrii chandni bhee hai
wohi her simt veerani,udaasi,tashnagi si hai
wohi hai bheer souchoun ki,wohi tanhaaiyan phir sey
mujhey sab yaad hai,kuch saal pehley ka ye kissa hai
wohi lamha tou veeranay ka ik Aabaad hissa hai
meri Aankhoun mein woh ik lamha-e-moujood ab bhee hai
woh zinda raat merey saath lakhoun baar jaagi hai
kisi ne raat ki tanhaayee mein sargoushiyaan ki theein
kisi ki narm guftaaree ne dil ko louriyaan di theein
kisi ne meri tanhayee ka sara karb banta tha
kisi ne raat ki chunri mein roushan chaand tanka tha
chamaktey jugnoun ka sail ik bakhsha tha ratoun ko
dharakta sa naya unwan diya tha mere khwaboun ko
merey shairoun mein woh ilhaam ki soorat utra tha
ma'ayni ban kai jo lafzoun mein pehli baar dharka tha
woh jis ke houne se zindagi naghma sarayee hai
usse kehna ke bheegi January phir lout ayee hai.

No comments:

Post a Comment