Wednesday, 18 May 2011

Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha

Mujhe Apne Zabt Pe Naz Tha, Sar e Bazm Raat Ye Kya Hua
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua
Meri Zindagi Ke Charagh Ka Ye Andaz Koi Naya Nahin
Kabhi Raushni, Kabhi Teergi, Kabhi Jalaa Hua Kabhi Bujha Hua
Mujhe Raste Mein Para Hua Kisi Bad Naseeb Ka Khat Mila
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua, Kahin Aansuon Se Mita Hua
Jo Nazar Bacha Ke Guzar Gaye, Mere Saamne Se Abhi Abhi
Ye Mere Sheher Hi Ke Log They Mere Ghar Se Ghar Mila Hua
Mujhe Humsafar Bhi Mila Koi, To Shikasta Hal Meri Tarah
Kahin Raston Ka Lutaa Hua Kahin Manzilon Ka Thaka Hua

No comments:

Post a Comment