Thursday, 2 June 2011

Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilrubba Sa

barason ke baad dekhaa ik shakhs dilrubaa sa
ab zahan main nahin hai par naam thaa bhalaa sa

abruu khinche khinche se aankhain jhuki jhuki si
baatain ruki ruki si lahajaa thakaa thakaa sa

alfaaz the ke jugnuu aavaaz ke safar main
ban jaaye jangalon main jis tarah raastaa sa

khvaabon main khvaab us ke yaadon main yaad us ki
nindon main ghul gayaa ho jaise ke ratjagaa sa

pahale bhi log aaye kitane hi zindagi main
wo har tarah se lekin auron se thaa judaa sa

agali muhabbaton ne wo naamuraadiyaan din
taazaa rafaaqaton se dil thaa daraa daraa sa

kuchh ye ke muddaton se ham bhi nahin the roye
kuchh zahar main bujhaa thaa ahabaab kaa dilaasa

phir yon huaa ke savan aankhon main aa base the
phir yon huaa ke jaise dil bhi thaa aabalaa sa

No comments:

Post a Comment