Friday 22 July 2011

Kisi Ki Khatir Qarar Khona ,


kisi ki khatir qarar khona ,
koi sunega to kiya kaheyga ..?

tumhara raton ko uth k rona,
koi sunega to kiya kaheyga..?

zamana ahd-e-shabab ka hai,
naye khayal-o-khwab ka hai,

ye shab bedari aur din ka sona,
koi sunega to kiya kaheyga...?

bhanwar main mujhe chor aatey yunhi to mohabat ka raz rahta ,
la kar sahil pe yun dubona ,
koi sunega to kiya kaheyga..?

kaha ye mainey k daro khuda se,
humarey dil ko dukha rahey ho,

wo hans k boley, chup raho na ,
koi sunega to kiya kaheyga ....?

No comments:

Post a Comment