Saturday 13 August 2011

Door Tak Chhaye Thay Badal Aur Kahin Saaya Na Tha


Door Tak Chhaye Thay Badal Aur Kahin Saaya Na Tha
Is Tarah Barsaat Ka Mausam Kabhi Aaya Na Tha

Kia Mila Aakhir Tujhe Saayon Ke Peechhey Bhaag Ker
Ai Dile Naadan Tujhey Kia Humney Samjhaya Na Tha

Uff Yeh Sannata Ke Ahat Tak Na Ho Jis Mai Mukhil
Zindgi Mai Is Qadar Hum Ne Sukoon Paaya Na Tha

Khoob Roye Chhip Ke Ghar Ki Chaardeewari Mai Hum
Haale Dil Kehne Ke Qabil Koi Hamsaaya Na Tha

Ab Khula Jhonkon Ke Peeechey Chal Rahi Theen Aandhiyan
Ab Jo Manzar Hai Wo Pehle To Nazar Aaya Na Tha

Sirf Khushboo Ki Kami Thee Ghaur Ke Qabil Qateel
Warna Gulshan Mai Koi Bhi Phool Murjhaya Na Tha

No comments:

Post a Comment