Ishq La Mahdood Jab Tak Rehnuma Hota Nahi
Zindagi Se Zindagi Ka Haq Aada Hota Nahi
Is Se Barh Kar Dost Koi Dusraa Hota Nahi
Sab Juda Ho Jaayen Lekin Gham Juda Hota Nahi
Zindagi Ik Hadsaa Hai Aur Aisa Hadsaa
Maut Se Bhi Khatm Jis Ka Silsila Hota Nahi
Dard Se Maamur Hoti Ja Rahi Hai Kayenaat
Ik Dil E Insaan Magar Dard Aashnaa Hota Nahi
Is Maqaam E Qurb Tak Ab Ishq Pahuncha Hai Jahaan
Deeda O Dil Ka Bhi Aksar Wastaa Hota Nahi
Waqt Aata Hai Ik Aisaa Bhi Sar E Bazm E Jamaal
Samne Hote Hain Wo Aur Saamna Hota Nahi
Kya Qayamat Hai Ke Is Daur E Taraqqii Mein Jigar
Aadmi Se Aadmi Ka Haq Adaa Hota Nahi..X..
(Jigar Muradabadi)

No comments:
Post a Comment