Khuda Jane Kahan Se Jalwa E Jaana Kahan Tak Hai
Wahin Tak Dekh Sakta Hai Nazar Jiski Jahan Tak Hai
Hum Itna B Na Samjhe Aql Khoi Dil Ganwaan Baithe
K Husn O Ishq Ki Duniya Kahan Se Hai Kahan Tak Hai
Zameen Se Aasman Tak Ek Sannate Ka Aalam Hai
Nahin Maalum Mere Dil Ki Viraani Kahaan Tak Hai
Niyaz O Naaz Ki Rudaad Husn O Ishq Ka Qissa
Ye Jo Kuch B Hai Sab Unki Hamari Dastan Tak Hai
Khayal E Yaar Ne To Aate Hi Gum Kar Diya Mujhko
Yahi Hai Ibteda To Inteha Iski Kahan Tak Hai
Zameen Se Aasman Tak, Aasman Se La Makan Tak Hai
Khuda Jane Hamare Ishq Ki Duniya Kahan Tak Hai
Suna Hai Sufiyon Se Hamne Aksar Khanaqahon Mein
K Ye Rangeen Bayani, Bedam, Rangeen Bayaan Tak Hai
(Hazrat Bedam Shah Warsi)

No comments:
Post a Comment