Friday 21 May 2010

SHAM

Sham Hai Is Tarah Ki Aaj Udas
Khud Se Doori Ka Jis Tarah Ehsas
Jaise Reh Reh Kar Dil Mein Koi Chubhan
Bhol Jane Se Baat Ke Uljhan
Jaise Soya Hua Kisi Ka Naseeb
Jaise Ashiq Ke Dil Mein Fiker-e-Raqeeb
Jaise Kamosh Jankani Ka Saman
Jaise Uthta Hua Chitta Se Dhuwan
Jaise Be Bas Ho Zulmaton Mein Nazar
Jaise Bewah Ka Maikey Ko Saffar
Door Manzal Ka Fasela Jaise
Lut Ke Reh Jai Qafela Jaise
Jaise Aflas Mein Bujhi Bujhi Si Umang
Dhoop Mein Jaise Jal Gia Ho Rang
Jaise Aek Khawab Tashn’a Ta’abir
Jaise Dam Tor De Koi Tadbir
Na Koi Saz Hai Na Koi Jam
Ha’ai….! Yeh Sham, Yeh Udas Si Sham

Jaan Nisar Akhtar

No comments:

Post a Comment