Thursday, 14 July 2011

Abi Zid na kar Dil-e-Bekhabar

Abi Zid na kar Dil-e-Bekhabar
Abi P'ss-e-Hajoom-e-Sitam giran,
Abi kon Tujh Sy Wafa Karay

Abhi Kis Ko Fursatain Iss Qadar
K Samait kar Teri Kirchiyan,
Teray Haq Main KHud sy Dua karay

Abhi Zid Na kar Dil-e-BeKhabar
K Teh-e-Gubar-e-Gham-e-Jahan
Kahan Kho gay Teray Chara Gar

K Rah-e-Hayat main Raigaan
Kahan So gay Teray Hamsafar

Abhi Ghum gusaron ki chot Seh
Abhi Kuch na sunn, Abhi kuch na keh

Abhi Zid na kar Meray Hum Nawa
Abhi Ho sakay To Sakhee Meray
Sabhi Khab Raakh main Dafan kar

Abhi ho Sakay To Yeh Soch lay
K Tallu-e-Ashk Sy Paishter

Kahin Dard hy to huwa kary
Koi Chot hy To khula karay

Kabi Yon B ho k Sar-e-ufaq
Teray Dukh ka chand Damak Uthay
Koi tees Khud sy Chamak Uthay

Kisi Shehr-e-Zakhm-e-farosh main
Koi Zakhm Khud sy Khareed kar,
Sabhi Aks Khud sy Khurach kabi

Kisi Aeenay Pa na deed kar
Kabi Yon b Jashn-e-Turab mana,
Kabi iss Tarah sy b Eid kar....

3 comments: