Wednesday, 31 August 2011

Kitab Kab Tak Rahe Gi Saada


Kitaab Kab Tak Rahe Gi Saada, Kabhi Tu Aaghaz-E-Baab Hoga,
Jinhun Ne Basti Ujaar Dali, Kabhi Tu Un Ka Hisaab Hoga,

Sehar Ki Khushiyan Manane Walon, Sehar Ke Tewar Bata Rahy Hain,
Abhi Tu Itni Ghutan Barhe Gi Ke, Saans Lena Bhi Azab Hoga,

Woh Din Gaye Ke Jab Har Sitam Ko, Ada-E-Mehboob Keh Kar Chup Thay,
Uthay Gi Hum Par Jo Entt Koi, Tu Patthar Us Ka Jawab Hoga,

Sukoon-E-Sehra Main Basne Walon, Zara Ruton Ka Mizaaj Samjho,
Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzra, Tu Kal Ka Mausam Kharab Hoga

Nahi Ke Ye Sirf Shairy Hai, Ghazal Mein Tareekh E Behissi Hai,
Jo Aaj Sheron Mein Ked Dia Hai, Wo Kal Shareek E Nisab Hoga

Murtaza Barlas

4 comments: