Monday, 22 August 2011

Tere Khayl Mein Kuch Aise Gum Raha Barson


Tere Khayl Mein Kuch Aise Gum Raha Barson...
Mein Apne Ap Se Bhe Mil Nahi Saka Barson...

Kahin Wo Zaiqa Tehleel He Na Ho Jay...
Mein Us Se Mil Ke Kisi Se Nahi Mila Barson..

Kaha Tha Tumne Ke Tum Lot Ao Gay Ek Din...
So Mein Jahan Tha Wahin Par Khara Raha Barson...

Tere Baghair Meri Umar Raigaan Guzri...
Koi Bhe Kam Nahi Theek Se Hua Barson...

Tumharay Hath Ki Dastak Ki Aas Mai "MOHSIN"
Mein Apne Ghar Se Kahin Bhe Nahi Gya Barson...

2 comments:

  1. یہ شعر میانوالی کے شاعر مظہر نیازی کا ہے لوگوں کو عجیب مسئلہ ہے کسی بھی شعر کو محسن نقوی کے نام سے منسوب کر دیتے ہیں یہ اچھی بات نہیں ہے
    ایڈمن پہلے تحقیق کرے پھر شاعری والی پوسٹ شئر کرے

    ReplyDelete
  2. bikul sai kha. many khud suna hai naizi sb say

    ReplyDelete