Saturday, 30 July 2011

Riwayat torr di usne


Wo aksar mujh se kehti thi
“WAFA HAI ZAT AURAT KI”
Magr jo mard hote hain,
Boht be’dard hote hain,
Kisi Bhanwary ki surat Gul ki khushbu loot
Jate hain,
Suno!
Tum ko kasam meri,
Riwayat tor dena tum,
Na tanha chor dena tum,
Na ye Dil tor k jana,
Mgr phir Kuch youn huwa hamdam,
Mujhe anjan raste par
Akela chor kar usne,
mera dil tor kar usne,
Muhabt
Chor di usne,
“WAFA HAI ZAT AURAT KI”
Riwayat torr di usne…!!!

Wasta Husn Se Ya Shiddat-e-Jazbat Se Kya


Wasta Husn Se Ya Shiddat-e-Jazbat Se Kya..?

Ishq Ko Tere Qabeeley, Ya Meri Zaat Se Kya..?

Meri Masroof Tabiyat B Kahan Rok Saki,

Wo To Yaad Aata Hy, Usko Mere Din Raat Se Kya..?

Pyaas Dekhon Ya Karon Fikr K Ghr Kacha Hy,

Soch May Hon K Mera Rishta Hy Barsat Se Kya..?

Aaj Usey Fikr K Kya Loog Kahien Ge Sagar,

Kal Jo Kehta Tha Mujhe, Rasm-o-Riwayaat Se Kya...!

Farz Karo Tum Kuch Na Pao..


Farz Karo Tum Kuch Na Pao.. 
Apna Aap Luta Kar Bhi 
Farz Karo Koi Mukar He Jaye 
Sachi Qasam Utha Kar Bhi 
Farz Karo Ye Farz Na Ho 
Sachi Ik Haqeeqat Ho 
Tere Ishq Ke Har Rastay Pe 
Jana Ik Qayamat Ho 
Aur Suna Hai Ke Ye Qayamat 
Khoon Jigar Ka Peeti Hai 
Tum To Jaana'n Farz Karo Ge 
Mujh Par Ye Sab Beeti Hai....

Wo Sahilon Pe Gane Wale Kya Hue


Wo Sahilon Pe Gane Wale Kya Hue
Wo Kashtiyan Jalane Wale Kya Hue

Wo Subah Ate Ate Rah Gai Kahan
Jo Qafile The Ane Wale Kya Hue

Main Jin Ki Rah Dekhta Hun Rat Bhar
Wo Raushani Dikhane Wale Kya Hue

Ye Kaun Log Hain Mere Idhar Udhar
Wo Dosti Nibhane Wale Kya Hue

Imaraten To Jal K Rakh Ho Gain
Imaraten Banane Wale Kya Hue

Ye Ap Ham To Bojh Hain Zamin Ka
Zamin Ka Bojh Uthane Wale Kya Hue

Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai


Musalsal Bekali Dil Ko Rahi Hai
Magar Jine Ki Surat To Rahi Hai

Main Kyun Phirta Hun Tanha Mara Mara
Ye Basti Chain Se Kyon So Rahi Hai

Chal Dil Se Ummidon K Musafir
Ye Nagari Aj Khali Ho Rahi Hai

Na Samjho Tum Ise Shor-E-Baharan
Khizan Patton Main Chup K Ro Rahi Hai

Hamare Ghar Ki Diwaron Pe 'Nasir'
Udasi Bal Khole So Rahi Hai

Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Wale


Lamha Bhar Apna Hawaon Ko Banane Wale,
Ab Na Aayen Gey Palt Kar Kabhi Jane Wale,
Kia Mile Ga Tujhe Bikhre Howe Khwabon K Siwa,
Rait Par Chand Ki Tasveer Banane Wale,
Sab Ne Pehna Tha Bare Shoq Se Kaghaz Ka Libas,
Jis Qadar Log The Barish Mey Nahane Wale,
Mar Gae Hum To Ya Kutbey Pe Lekha Jae Ga,
So Gae Aap Zamane Ko Jagane Wale,
Dar O Dewar Pe Hasrat Si Brasti Hai ''' MOHSIN''
Jane Kis Dais Gaye Piyar Nibhane Wale...!!!

>>MOHSIN--NAQVI<<

Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe


Yeh Mojeza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaaye Mujhe
Ke Sang Tujhpe Gire Aur Zakhm Aaye Mujhe

Wo Meharbaa Hai Tho Ikraar Kyoo Nahin Kartha
Wo Badgumaa Hai Tho Soo Baar Aazmaaye Mujhe

Wo Mera Dost Hai Saare Jahaan Ko Hai Maaloom
Daga Kare Wo Kisi Se Tho Sharm Aaye Mujhe

Main Apni Zaat Mein Neelam Ho Raha Hoon Qateel
Gham-E-Hayaat Se Keh Do Khareed Laaye Mujhe
(Qateel Shifai)

Bad Mast Ho K Ay Nigha E Naaz Dekhna.


Bad Mast Ho K Ay Nigha E Naaz Dekhna.
Phir Meri Larzisho,N Ka Bhe Andaaz Dekhna.

Tark E Nayaaz O Shouq Ka Ejaaaz Dekhna.
Sooni Pari Hy Anjuman E Naaz Dekhna.

In K Hareem Naaz K Pardo,N Ko Chhu Lya.
Meri Nazar Ke Jurat E Aagaz Dekhna.

Khud Ban Gya Sako,N , Josh E Iztarab.
Ghabra K Kis Nay Di Mujhy Awaaz Dekhna.

Yu,N Dekhti Hy Jesay Nazar Dekhti Na Ho.
Zalim K Dekhnay Ka Ye Andaaz Dekhna.

Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe


Na Jane Kin Adaon Se Lubha Liya Gaya Mujhe
Qateel Mere Samney Chura Liya Gaya Mujhe
Kabhi Jo Un Ke Jashn Mein Siyahiyan Bikhar Gaen
To Roshni Ke Wastey Jala Liya Gaya Mujhe
Barah-E-Rast Rabta Na Mujhse Tha Qabool Unhain
Likhwa Ke Khat Raqeb Se Bula Liya Gaya Mujhe
Jab Un Ki Deed Ke Liye Khara Tha Main Kataar My
 Na Jane Kyon Kataar Se Hata Liya Gaya Mujhe
Mein Rondney Ki Chez Tha Kisi Ke Paon Se Magar
Kabhi Kabhi To Zulf Mein Saja Liya Gaya Mujhe
Poucha Gaya Wafa Hai Kya? Jawab Tha K Zindagi..
Qateel Piyar Se Galey Laga Liya Gaya Mujhe
(Qateel Shifai)

Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad


Tune Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad
Kitane Chup-Chaap Se Lagte Hain Shajar Shaam Ke Baad

Itne Chup-Chaap Ke Raste Bhi Raheinge Laa-Ilm
Chor Jaayeinge Kisi Roz Nagar Shaam Ke Baad

Main Ne Aise Hi Gunaah Teri Judai Mein Kiye
Jaise Tufaan Mein Koi Chor De Ghar Shaam Ke Baad

Sham Se Pahle Vo Mast Apni Uraanon Mein Raha
Jis Ke Hathon Mein The Tote Hue Par Shaam Ke Baad

Raat Biti To Gine Aable Aur Phir Socha
Kaun Tha Baa_Is-E-Aaghaz-E-Safar Sham Ke Baad

Tu Hai Sooraj Tujhe Maloom Kahan Raat Ka Dukh
Tu Kisi Roz Mere Ghar Mein Utar Sham Ke Baad

Laut Aaye Na Kisi Roz Wo Aavara Mizaaj
Khol Rakhte Hain Isi Aas Pe Dar Shaam Ke Baad.

Behkay Huay Sar-E-Aam Bari Dair Ho Gayi


Behkay Huay Sar-E-Aam Bari Dair Ho Gayi
Saqi Pila De Jaam Bari Dair Ho Gayi..

Kaisy Bhula Doon Tujh Ko Sahil Ki Rait Par
Likhtay Huay Tera Naam Bari Dair Ho Gayi..

Ab Kya Bataoun Manzar Sooraj K Doobnay Ka
Dekhay Huay Koi Shaam Bari Dair Ho Gayi..

Ehbaab Ne Meri Minnatain Hazaar Kin
Pee Lijiye Jaam Bari Dair Ho Gayi..

Dekhay Mery Gunah To Farishtay Pukaar Uthay
Bas Ho Gaya Hisaab Tamaam Bari Dair Ho Gayi..

Chalo Sagar Aaj Un K Koochay Mein Chalyain..!!
Unko Kiye Salaam Bari Dair Ho Gayi...

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala


Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibhanay Wala
Wahi Andaaz Hai Zaalim Kaa Zamaanay Wala

Ab Isay Log Samajhate Hain Giraftaar Meraa
Sakht Nadim Hai Mujhe Daam Main Laanay Wala

Kyaa Kahain Kitane Maraasim The Hamaare Us Se
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaanay Wala

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saary Duniyaa
Aaj Tanhaa Houn To Koi Nahi Aanay Wala

Muntazir Kis Kaa Houn Tooti Hoe Dahaleez Pe Main
Kaun Aaye Gaa Yahan Kaun Hai Aanay Wala

Main Ne Dekhaa Hai Bahaaroun Main Chaman Ko Jalte
Hai Koi Khwaab Kii Taabeer Bataanay Wala

Kyaa Khabar Thi Jo Meree Jaan Main Ghulaa Hai Itnaa
Hai Wahi Mujh Ko Sar-E-Daar Bhi Laanay Wala

Tum Taqalluf Ko Bhi Ikhalaas Samajhate Ho 'Faraz'
Dost Hotaa Nahain Har Haath Milaanay Wala......

--Ahmed Faraz

Hawa Ke Zor Se Pindaar E Baam O Dar B Gaya
Chiragh Ko Jo Bachate They Un Ka Ghar B Gaya 

Pukaarte Rahe Mahfooz Kashtiyon Wale 
Main Dobta Hua Dariya Ke Par Utar B Gaya

Ab Ehtiyaat Ki Deevaar Kya Uthaate Ho 
Jo Chor Dil Mein Chupa Tha Wo Kaam Kar B Gaya 

Sulagte Sochte Veeraan Mausamon Ki Tarah 
Karra Tha Ehd E Javaani Magar Guzar B Gaya

Jise Bhulaa Na Sakaa Us Ko Yaad Kya Rakhta 
Jo Naam Dil Mein Raha Zehan Se Utar B Gaya 

Phati Phati Hui Aankhon Se Yun Na Dekh Mujhe 
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar B Gaya 

Magar Falak Ki Adaavat Usi K Ghar Se Na Thi 
Jahaan Faraz Na Tha Sail E Gham Udhar B Gaya.

(Ahmed Faraz)

Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya


Gaye Dinon Ka Suragh Le Kar, Kidher Se Aaya Kidher Gaya Wo,
Ajeeb Manoos Ajnabi Tha, Mujhe To Hairan Kar Gaya Wo,

Bas Ek Halki Jhalk Dikha Kar, Bus Ek Meethi See Dhun Suna Kar,
Sitara E Sham Ban Ke Aaya, Barang E Khewab E Sehar Gaya Wo,

Na Ab Wo Yadon Ka Charhta Drya, Na Fursaton Ki Udas Barkha,
Yunhi Zara Si Kasak Ha Dil Mein Jo Zakhm Gehra Tha Bhr Gaya Wo,

Shikasta Pa Rah Meinn Khara Hoon, Gaye Dinon Ko Bula Raha Hoon
Jo Qafla Mera Hamsafar Tha, Misal E Gard E Safar Gaya Wo,

Hawas Ki Bunyad Par Na Thehra Kisi Bhi Umeed Ka Gharonda,
Chali Zara Si Hawa Mukhalif,Ghubar Ban Ke Bikhar Gaya Wo,

Wo Hijar Ki Rat Ka Sitara,Wo Hamnafs Ham Sukhan Hamara,
Sada Rahe Us Ka Nam Pyara, Suna Hai Ke Rat Mar Gaya Wo,

Mera To Khon Ho Gya Ha Pani, Sitmgarun Ki Palak Na Bheegi
Jo Nala Utha Tha Rat Dil Se,Na Jane Kion Be Asar Gaya Wo,

Wo Jis Ke Shane Pe Hath Rakh Kar Safar Kiya Tu Ne Manzilon Ka
Teri Gali Se Na Jane Kion Aaj Sar Jhukae Guzar Gaya Wo,

Wo Rat Ka Benawa Musafir Wo Tera Shair,Wo Tera Nasir
Teri Gali Tak To Ham Ne Dekha,Phir Na Jane Kidhar Gaya Wo..

Hoti Hai Tere Naam Se Vahashat Kabhii Kabhii


Hoti Hai Tere Naam Se Vahashat Kabhii Kabhii
Bar_Ham Hu_Ii Hai Yuu.N Bhii Tabiiyat Kabhii Kabhii

Ai Dil Kise Nasiib Ye Taufiiq-E-Iztiraab
Milatii Hai Zindagii Me.N Ye Raahat Kabhii Kabhii

Tere Karam Se Ai Alam-E-Husn-E-Aafrii.N
Dil Ban Gayaa Hai Dost Kii Khilvat Kabhii Kabhii

Dil Ko Kahaa.N Nasiib Ye Taufiiq-E-Iztiraab
Milatii Hai Zindagii Me.N Ye Raahat Kabhii Kabhii

Josh-E-Junuu.N Me.N Dard Kii Tugayaaniyo.N Ke Saath
Ashko.N Me.N Dhal Ga_Ii Terii Suurat Kabhii Kabhii

Tere Qariib Rah Ke Bhii Dil Mutama_Iin Na Thaa
Guzarii Hai Mujh Pe Bhii Ye Qayaamat Kabhii Kabhi

Kuchh Apanaa Hosh Thaa Na Tumhaaraa Khayal Thaa
Yuu.N Bhii Guzar Ga_Ii Shab-E-Furqat Kabhii Kabhii

Ai Dost Ham Ne Tark-E-Muhabbat Ke Baavajuud
Mahasuus Kii Hai Terii Zaruurat Kabhii Kabhii

(Nasir Kazmi)

Friday, 29 July 2011

Bura Na Man Agr Tujh Ko Pyar Krti Hoon

Bura Na Man Agr "Tujh Ko Pyar Krti Hu"

Gunah Kon Sa Aisa "Main Yr Krti Hu"

Meri Khataon Main Meri Samjh Ka "Nhi Koi Dakhl"

Main Jo Bhi Krti Hu "Be-Ikhtyar Krti Hu"

Tu Ktne Pyar K Qabil Hy "Kya Khabar Mujh Ko"

K Main To Jitna B Mumkin "Hai Pyar Krti Hun"

Woh Ghair Ho Ya Sajan "Koi B Ho Mgr Us Sy"

Main Tera Tazkra "Dewana War Krti Hun"

KHUDA Ki Duniya Sy Itni "Mohabt Nhi Hai Shayed"

KHUDA K Ek Bandy Ko Main "Jitna Pyar Krti Hun

‎( Parveen Shakir )

Kabhi Barish Barasti Hai

Kabhi Barish Barasti Hai
To Mujko Yaad Aata Hai
Wo Aksar Mujh Se Kehta Tha
Mohabbat Aik Barish Hai!!
Sbhi Pe Jo Barasti Hai..
Magr Phir Bhi Nahi Hoti 
Sbhi K Waastay Yaksaan..
Kisi K Waastay Rahat..
Kisi K Waastay Rahat..
Main Aksar Sochta Hoon Ab
Wo Mujh Se Theek Kehta Tha
Mohabbat Aik Barish Hai!!
Sbhi Pe Jo Barasti Hai..
Kbhi Mujh Pe Bhi Barsi Thi..
Magr Mery Liye Barish?
KbhiNa Ban Saki Rahat..
Ye Rahat Kyun Nahi Banti?
Kbhi Main Khud Se Pochon To?
Ye Dil Deta Duhai Hai
Kbhi Kachay Makanon Ko Bhi

Abhi To Raat Bqi Hai,Ye Dhal Jaye To So Jana,

Abhi To Raat Bqi Hai,Ye Dhal Jaye To So Jana,
Ghari Bhar Ko Dil-E-Nadan Sambhl Jaye To So Jana,
Ye Jalte Hont Aur Ye Neend Mein Doobi Hui Ankhain,
Zara Tehro Mujhe B Neend A Jaye To So Jana,
Haseen Ho Tm Tmhein Kya Gham,Tmhein To Neend Pyri Hai,
Hamara Haal Mat Pocho K Hum Par Raat Bhari Hai,
Hamaray Sar Qiymat Hai,Ye Tal Jye To So Jana,
Abi To Raat Bqi Ha Ye Dhal Jaye To So Jana....

Zakham Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Zakham Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Muddat Ke Baad Dekha Use Badla Hua Tha Woh

Muddat Ke Baad Dekha Use Badla Hua Tha Woh
Najane Kiya Hadsa Hua Sehma Hua Tha Woh
Mujhe Dekh Kar Usne Chehra Tou Chupa Lyia
MGR Ankhein Bata Rahi Thi Ke ROOYA Hua Tha Woh
Uski Aankhon Mein Dekh Kar MEHSOOS Hua Mujhe
Meri Tarah Kisi Sooch Mein DOOBA Hua Tha Woh
Uski Sone Jaisi RANGAT Zarad Parh Gayi Thi
Jaise Kissi Ke Pyaar Mein Jalla Hua Tha Woh
Qurbaan Jaon Uss Shakhs Par Main Mohsin
Yaad Mein Jis Ki Khoya Hua Tha Woh.

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai
Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai
Zindagi Phool hai Khushbu hai Magar Yaad Rahe
Zindagi Gardash-e-Halaat Bhi ho Sakti hai
Hum Ne ye Soch Ke Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala-o-Gul mein Teri Zaat Bhi ho Sakti hai
Chaal Chalte huwe Shtranj ki Baazi ke Usool
Bhool Jao ge tou Phir Maat Bhi ho Sakti hai
Aik tou Chhat ke Bina Ghar hai Hamhara Mohsin
Us pe Ye Khauf Ke Barsaat Bhi ho Sakti hai.

Pathar He Sahi, Raah Mein Hail Tou Rahoon Ga

Pathar He Sahi, Raah Mein Hail Tou Rahoon Ga
Kuch Dair Tera Mud'e Muqabal Tou Rahoon Ga
Jab Tuk Teri Bakhshish Ka Bharam Khul Nahin Jata
Aye Mere Sakhi, Main Tera Saayal Tou Rahoon Ga
Iss Waastey Zinda Hoon Sar Maqtal-E-Yaraan
Wabasta E Kam Zarfi E Qatal Tou Rahoon Ga
Aye Taiz Hawa Mera Dhuwan Daikh Ke Jana
Bujh Kar Bhi Nishaan-E-Rah-E-Manzil Tou Rahoon Ga
Dushman Hi Sahi Naam Tou Le Ga Mera Tu Bhi
Youn Main Teri Aawaaz Mein Shamil Tou Rahoon Ga
Jab Tum Mein Baghawat Na Karoon Jabar-O-Sitam Se
Zindaan Mein Hoon Paband-E-Salasal Tou Rahoon Ga
Mohsin Zad-E-Ada Se Agar Mar Bhi Gaya Main
Mayaar-E-Tameez-E-Haq-O-Batil Tou Rahoon Ga.

Youn Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise

Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise 
Sath Chal Mauj E Saba Ho Jaise

Ishq Ko Shirk Ki Had Tak Na Barha 
Yun Na Mil Hum Se Khuda Ho Jaise

Maut B Aai To Is Naaz K Sath 
Mujh Pe Ehsan Kiya Ho Jaise

Aise Anjan Bane Baithe Ho 
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise

Hichkiyan Rat Ko Ati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yad Kiya Ho Jaise

Zindagi Beet Rahi Hai Danish 
Ek Be Jurm Sazaa Ho Jaise...

(Ehsaan Danish)

MANZIL MIL GAI MUJH KO...

Chalo Ham Maan Lete Hain
Tumhen Ham Kho Chuke Lekin
Tumhari Yaad Ab Tak Bhi.
Hamen Betaab Rakhti Hai.
Hamaari Saans Ab Tak Bhi..
Tmhaari Aas Rkhti Hai..
Mgr Ab Ye Bhi Sunte Hain..
Tumhaari Raah Roshan Hai..
Tumhen Bhi Mil Gaya Koi..
Magar Afsos..! Ham Jesa..
Agar Paao Kahin Tum To..
Mujhe Do Lufz Likh Dena..
K....
MANZIL MIL GAI MUJH KO...

Suno Ayy Chaand Si Larki

Suno..!!
Suno Ayy Chaand Si Larki
Abi Tum Titliyaan Pakro'
Yaa Phirr Choorion Say Khailou Tum'
Abi In Masoom Si Aankhon Say
Dhairon Khawaab Daikhou Tum'
Faraz -O-Faiz-O-Mohsin Ki 
Kitaabain Mat Abhi Parhnaa'
Yeh Sab Lafzon K Saahir Hain
Tumhain Uljha K Rakh Dain Gay...
Tumhain Maloom Hee Kab Hai...!!!
Mohabbat Ke Libaday Main
Abhi Apni Hathaili Pay
Kisi Ka Naam Mat Likhou...
Abhi Apni Kitaabon Main
Gulaabi Phool Mat Rakhou...
Sunno Ayy Chaand Si Larki....!!!!!

Palken Chamak Uthi Hain Neend Me Hamari,

Palken Chamak Uthi Hain Neend Me Hamari,
Aankho Ko Abhi Khwab Chhupane Nahi Aate..

Ye Na Samajhna Ki Tumhe Bhool Gaye Hum,
Bas Baat Shuru Karne Ke Bahaane Nahi Aate..

Aa To Jati Hai Qadmo Me Saari Duniya Magar,
Laut Kar Kabhi Phir Se Guzre Zamaane Nahi Aate..

Mehfil Me Sabhi Sochte Hain Ki Ise Gam Nahi Koi,
Hum Pee Jate Hain Ashq Kisi Ko Dikhaane Nahi Aate..

Jo Dil Me Hai Mere Wahi Baat Zubaan Par Hogi,
Hume Bayaan Karne Bas Ye Fasaane Nahi Aate..

Hum Aaj B Hain Soch Mai Doobay Hue Mohsin

Hum Aaj B Hain Soch Mai Doobay Hue Mohsin
Khud Say, Kabhi Dunia Say Hain Roothay Hue "Mohsin"
Denay K Liye Usko, Jo Hum Nay Thay Sambhaalay...
Woh Phool Kitaabon Main Hain Sookhay Hue "Mohsin"
Woh Apni Jafaaon Main Kuch Kami Toh Karain Aaj......
Ik Ummer Hue, Shaher Unhaik Choray Hue "Mohsin"
Hum Nay Ye Kaha Tha Unhain Payaar Hai Humsay...
Hum Aaj Bharii Bazam Mai Jhoothay Hue Mohsin....
Aagosh Mai Unki, Hamain Raahat Jo Mili Hai..
Hum Aaj Ander Say Hain Kuch Tootay Hue "Mohsin"

Mohabbat Es Tarah Jese Gulabi Titliyun K Pr

Mohabbat Es Tarah Jese Gulabi Titliyun K Pr
Mohabbt Zindgani Ki Jabeen E Naz Ka Jhumar

Mohabbt Aarzu K Seep Ka Anmol Sa Gohar
Mohabbt Aarzu Ki Dhoop Mn Umeed Ki Chadar

Mohabbt Hai Tery Gaisu, Teri Palken, Teri Aankhen
Mohabbt Teri Khamoshi, Mohabbt Hen Teri Baaten

Mohabbt Hai Tumhary Jijar Ki Or Wasl Ki Raaten
Mohabbt Hai Teri Dharkan Mohabbt Hai Teri Saansen

Mohabbt Teri Khamoshi Tumhari Baat Jesi Hai
Mohabbat Ko Agar Samjho To Teri Zaat Jesi Hai

Khud Apney Liye Beth K Sochein Ge Kisi Din

Khud Apney Liye Beth K Sochein Ge Kisi Din
Yun Hai K Tujhey Bhool K Dekhein Ge Kisi Din

Bhatkey Hoye Phirtey Hain Kai Lafz Jo Dil Main
Duniya Ne Diya Waqt Tu Likhein Ge Kisi Din

Hil Jayein Ge Ek Bar Tu Arshoon K Darobaam
Ye Khak Nashen Log Jo Bolein Ge Kisi Din

Aapas Ki Kisi Baat Ka Milta Hi Nahi Waqt
Har Bar Ye Kehtey Hain K ” Bethein Ge Kisi Din

Aye Janteri Yaad k Benaam Parindey
Shakhoon Pe Merey Dard K Utrein Ge Kisi Din??

Jati Hai Kisi Jheel Ki Gehraai Kahan Tak
Aankhoon Main Teri Doob K Dekhein Ge Kisi Din

Khushboo Se Bhari Sham Main Jugno K Qhalam Se
Ik Nazaam Tere Naam Likhein Ge Kisi Din

Khushboo Ki Tarha , Misle Saba ,Khuwab Numa Se
Galiyoon Se Tere Sehar K Guzrein Ge Kisi Din .

Wednesday, 27 July 2011

Qurb Ke Na Wafa Ke Hote Hain

Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain

Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain

Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain

Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain

Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain

Pas Aao, Ik Iltija Sun Lo,

Pas Aao, Ik Iltija Sun Lo,
Pyar Hy Tumse Be-Panah Sun Lo..

Aik Tumko Khuda Se Manga Hy,
Jab Bhi Mangi Koi Dua Sun Lo...

Ibtida Ishq Ki Hui Tumse,
Tum Ho Chahat Ki Intiha Sun Lo...

Bin Tere Jee Ni Sakunga Mai,
Laut Aao, Meri Sadaa Sun Lo...

Daikh Lo Zindagi Adhuri Hy,
Na Raho Aur Ab Juda Sun Lo...

Tum Ho Sirf Tum Ho Zindagi Meri,
Such Hy Such Hy Bakhuda Sun Lo...

"WASI" Koi Ni Mera Apna,
Tum Rahogey Mere Sada Sun Lo...

Ek Tamanna Hai Fakat Mujh Pey Meharban Raho

Ek Tamanna Hai Fakat Mujh Pey Meharban Raho
Tum Kisi Aur Ko Dekho To Bura Lagta Hai

Mery Chahat Ka Takaza Hai Mere Sath Raho
Ghair Ka Hath Jo Thamo Tu Bura Lagta Hai

Arzo Hai Tere Her Roop Ko Her Pal Dekhon
Tum Mere Pas Sey Utho Tu Bura Lagta Hai

Roz-E-Shab Aaj B Perwa Hai Tumhari Mujh Ko
Tum Kisi Aur Ko Socho Tu Bura Lagta Hai

Ye Mery Rooh Tarasti Hai Tumhari Khushbo Ko
Tum Kahin Aur Ja K Mehko To Bura Lagta Ha

Teri Yaad Nay Meray Dil Ko Saja Rakha Hai

Teri Yaad Nay Meray Dil Ko Saja Rakha Hai
Teray Pyar Main Sab Ko Bhula Rakha Hai

Kuch Acha Nahin Legta Teri Judai Kay Baad
Ek Teri Yaad Ko Sinay Say Laga Rakha Hai

Tera Milna To Abb Aik Khawab Hi Lagta Hai
Najanay Abb Kyoon Dil Ko Bhula Rakha Hai

Sab Kuch Lut Gaya Hamara Teray Pyar Main
Teri Yaad Ko Palkoon Main Chupa Rakha Hai

Najanay Koi Nahin Basta Teray Siva Ankh Main
Aik Teri Tasveer Ko Dil Main Chupa Rakha Hai

Teri Khushbu Ka Pataa Karti Hai

Teri Khushbu Ka Pataa Karti Hai,
Mujh Pay Ehsaan Hawa Karti Hai,

Shab Ki Tanhai Mei Ab To Aksar,
Guftagu Tujh Say Raha Karti Hai,

Dil Ko Us Raah Pay Chalna Hee Nahi,
Jo Mujhay Tujh Say Juda Karti Hai,

Zindagi Meri Thee Lekin Ab To,
Teray Kehnay Mei Raha Karti Hai,

Us Nay Dekha He Nahi Warna Yeh Aankh,
Dil Ka Ehwaal Kaha Karti Hai,

Shaam Parrtay He Kisi Shakhs Ki Yaad,
Koocha E Jaan Mei Sadaa Karti Hai

Juda Hone K Mousam Main Juda Hona Zarori Tha

Juda Hone K Mousam Main Juda Hona Zarori Tha,
Naajane Kyun Kisi Ka Bewafa Hona Zarori Tha,
Kisi Se Koi Bhi Shikwa Na Koi Shikayat Hai,
Jo Mere Sath Chahat Main Hua, Hona Zarori Tha
Boht Nazdeek The Dil Islye Ab Doriyan Bhi Hain,
Dilon K Darmiyan Kch Fasala Hona Zarori Tha,
Usay Bhi Dard Dene Ka Bht Hi Shoq Tha WASI,
Hamain Bhi Dard-O-Gham Se Ashna Hona Zarori Tha!!

Aankhon Kaa Rang, Baat Kaa Lahjaa Badal Gayaa

Aankhon Kaa Rang, Baat Kaa Lahjaa Badal Gayaa
Vo Shakhs Ek Shaam Men Kitnaa Badal Gayaa !

Kuch Din To Meraa Aks Rahaa Aaiine Pe Naqsh
Phir Yun Hu’aa Ke Khud Meraa Chehraa Badal Gayaa

Jab Apne Apne Haal Pe Ham Tum Na Rah Sake
To Kyaa Hu’aa Jo Hamse Zamaanaa Badal Gayaa

Qadmon Tale Jo Ret Bichii Thii Vo Chal Parii
Us Ne Churaayaa Haath To Sehraa Badal Gayaa

Ko’ii Bhii Chiiz Apnii Jagah Par Nahiin Rahii
Jaate Hi Ek Shakhs Ke, Kyaa Kyaa Badal Gayaa !

Ek Sar-Khushii Kii Mauj Ne Kaisaa Kiyaa Kamaal
Vo Be-Niyaaz, Saare Kaa Saaraa Badal Gayaa

Tumhen Ik Baat Kehni Hai,

Tumhen Ik Baat Kehni Hai,
Magar Naraaz Mat Hona,
K Tum Jo Her Gharri Mujh Ko,
Itna Yaad Aate Ho,
Humen Itna Statay Ho,
K Hum Tum Door Hain Dono,
Bohat Majboor Hain Dono,
Na Itna Yaad Aao Tum,
Na Youn Itna Satao Tum,
K Itna Yaad Aa Ker Youn,
Humen Pagal Bana K Tum,
Faqat Itna Bata Do K,
Humari Jaan Lo Ge Kia...?

Zakhum E Dil Pur,Bahaar Dekha Hy.

Zakhum E Dil Pur,Bahaar Dekha Hy.
Kya Ajab Lalaa Zaar Dekhaaa Hy.

Jin K Daman Main Kuch Nahi Hota.
In K Seno,N Main Pyaar Dekha Hy.

Khaak Urti Hy Teri Galyu,N Main.
Zindagi Ka Wakaar Dekha Hy.

Tashnagi Hy Sadaf Ke Honto,N Par.
Gul Ka Sena Fugaar Dekha Hy.

Jazba E Ghum Ke Khair Ho Saghar.
Hasrato,N Par Nikhaar Dekha Hy

Hum Ko Tum Kho Do Gay

Meri ROOH Nikalny wali ho gi,
Meri SAANS Bikharne wali ho gi,
Phir Daman ZINDAGI ka CHOOTY ga,
Dhaga SAANS ka bhi Totay ga,
Phir HUM na aain gay "Saaqi",
Phir HUM say koi na Rothay ga,
Phir Aankhon main NOOR na hoga,
Phir DIL Ghum say Chur na hoga,
Us pal TUM HUM ko thamo gay,
Hum say Dost apna Mango gay,
Phir HUM na kuch Bolain gay,
Aankhen bhi na Kholen gay,
Us pal TUM bhi Ro do gay,

"HUM KO TUM KHO DO GaY....!!!"

Chand Se Chehry Ka Sadqa Bhe Utra Kijey,

Chand Se Chehry Ka Sadqa Bhe Utra Kijey,
Mashwara Hy Ye Meri Jaan Gawara Kijye,
Roshni Jin Ki Andhron Main Simat Jati Hy,
Ghar K Angan Main Na Yun Baal Sanwara Kijye,
Hum To Ye Jaan Hatheli Pe Liye Phirty Hen,
Bus Kisi Din Humen Halka Sa Eshara Kijye,
Ap To Meher Nashi Mar Mulaim Se Hen,
Jhonpri Hy Ye Gareebon Ki Guzara Kijye,
Hum To Rahon Main Liye Phirty Piyasa Dil,
Malik-E-Sa Hy Kisi Roz Nazara Kijye.........

Koi Ghazal Suna Ker Kia Karna

Koi Ghazal Suna Ker Kia Karna
Yun Bat Barha Ker Kia Kerna
Tum Mere Thay Tum Mere Ho
Dunya Ko Bata Ker Kia Karna
Tum Ehad Nibhao Chahat Se
Koi Rasam Nibha Ker Kia Kerna
Tum Khafa Bhi Ache Lagte Ho
Phir Tum Ko Mana Ker Kia Kerna
Tere Der Pe Aa Ke Bethe Hain
Ab Ghar Bhi Ja Ker Kia Kerna
Din Yad Se Acha Guzre Ga
Phir Tum Ko Bhula Ker Kia Kerna

Aseer-E-Dasht-E-Wafa Ka Na Maajra Kehna

Aseer-E-Dasht-E-Wafa Ka Na Maajra Kehna
Tamaam Pochnay Walon Ko Bas Dua Kehna..

Ye Kehna K Raat Guzarti Hai Ab Bhi Aankhon Mein
Tumhari Yaad Ka Qaaim Hain Silsila Kehna..

Ye Kehna K Chaand Nikalta Hai Baam Par Ab Bhi
Magr Nahi Wo Shab Ka Ab Maza Kehna..

Ye Kehna K Hum Ne Hi Toofan Mein Daal Di Kashti
Kasoor Apna Hai Darya Ko Kya Bura Kehna..

Ye Kehna K Tum Se Bicher K Bikhar Gaya NASIR..!!
K Jaisy Haath Se Gir Jaye Aaina Kehna...

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hain

Teri Talash Mein Hum Jab Kabhi Nikalte Hain
Ik Ajnabi Ki Tarah Raaste Badalte Hain

Daraaz Ho Gham E Hijraan K Hasil E Hijraan
Wo Hausale Hain Jo Aghosh E Gham Mein Palte Hain

Rawaa Nahi Hai Gham E Ishq Is Qadar B Gharur
Tere Bagair B Dunya K Kam Chalte Hain

Kabhi Jo Had Se Barhi Un Ki Yaad To Samjhe
K Un K Dil Mein B Kuch Walwale Machalte Hain

Shab E Firaq Kuch Aisi B Teergi To Nahi
Kabhi Kabhi Sar E Mizgaan Charagh Jalte Hain

Ab Unke Gham Se B Mahroom Ho Na Jayen Kabhi
Wo Jante Hain K Is Gham Se Dil Bahelte Hain..X..

(Hafeez Hoshiarpuri)

Hairat Hai Waqt Ne Bhi Sikhaya Nahee'n Tujhey

Hairat Hai Waqt Ne Bhi Sikhaya Nahee'n Tujhey
Jeena Hai Kiss Tarah Ye Bataya Nahee'n Tujhey

Misley Ghulab Tar Tujhey Rakkha Hai Zeest Ne
Meri Tarah Dukho'n Mai Jalaya Nahee'n Tujhey

Mujhko Yaqeen Tha K Tujhey Lautna To Hai
Tu Ruthh Bhi Gaya To Manaya Nahee'n Tujhey

Tu Ajnabi Raha Terey Haq Mai Bhala Huwa
Apno'n Ki Qurbato'n Ne Sataya Nahee'n Tujhey

Pighlain Hain Apni Aag Mai Ham Khud, Magar Kabhi
Iss Aatish E Junoo'n Mai Jalaya Nahee'n Tujhey

Itney Thai Dil Girafta Judai Ki Raat Ham
Apna Koi Bhi Shair Sunaya Nahee'n Tujhey

Dekh Hamari Deed Ke Karan Kaisa Qaabil E Deed Hua

Dekh Hamari Deed Ke Karan Kaisa Qaabil E Deed Hua
Ek Sitaara Baithe Baithe Taabish Men Khursheed Hua

Aaj To Jaani, Rastaa Takte, Shaam Ka Chand Padeed Hua
Tu Ne To Inkaar Kiya Tha, Dil Kab Naa-Ummeed Hua??

Aan Ke Is Beemaar Ko Dekhe!! Tujh Ko Bhi Taufeeq Hui?
Lab Pe Us Ke Naam Tha Tera, Jab Bhi Dard Shadeed Hua

Haan Us Ne Jhalak Dikhlayi, Ek Hi Pal Ko Dreeche Men
Jaano Ek Bijli Lahraayi, Aalam Ek Shaheed Hua

Tu Ne Hum Se Kalaam Bhi Chhora, Arz E Wafaa K Sunte Hi
Pahle Kaun Qareeb Tha Hum Se, Ab To Aur Ba’eed Hua

Duniya Ke Sab Karaj Chhore, Naam Pe Tere ‘Insha’ Ne
Aur Use Kya Thore Gham The? Tera Ishq Mazeed Hua

(Ibn E Insha)

Ajab Imtihaan Main Hun Dil Ka Hisaab Kis Ko Don?

Ajab Imtihaan Main Hun Dil Ka Hisaab Kis Ko Don?
Hisaab-E-Ishq Pe Likhi Kitaab Kis Ko Don?

Har Aik Shakhs Ko Mujh Se Bohat Muhabbat Hai
Sochti Hun Wafa Ka Jawaab Kis Ko Don?

Mera Kholos,Muhabbat,Wafa Hai Sab K Liye
Sochti Hun K Lub-E-Labaab Kis Ko Don?

Mere Liye Tu Sabhe Loog Aik Jaise Hain
Sakoon Kis Ko Don Main Iztiraab Kis Ko Don?

Hujoom-E-Husan K Meelay Main Sochti Hun Main
K Apne Hath Main Thama Gulaab Kis Ko Dooon????

Un Ko Yeh Israr Kay Un Se Khta Mumkin Nahi

Un Ko Yeh Israr Kay Un Se Khta Mumkin Nahi
Aisi Soorat Mein To Koi Faisla Mumkin Nahi

Sirf Un Kay Mashwaray Pey Munhsir Hai Zindagi
Or Sitam Yeh Hai Kay Un Sey Mashwara Mumkin Nahi

Zinda Rehney Kay Liye Hum Zaher Bhi Peetay Rehey
Zindagi Dushwar Ho Sakti Hai Namumkin Nahen

Dosty Kay Baez Pehlu Chahtay Han Tabsra
Dil-Azari Kay Dar Sey Tabsra Mumkin Nahi

Tuesday, 26 July 2011

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein

Na Jane Dhoondtay Ho Kya Meri Weeran Aankhon Mein 
Chupa Rakhay Hum Ne To Kai Toofaan Aankhon Mein 

Kahan Wo Shokhiyan Pehlay Si,Ab Kuch Bhi Nahein Baqi 
Chalay Aaye Ho Tum Kya Khojnay In Be-jaan Aankhon Mein?

Kisi Ka Haath Le kar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se 
To Kaise Toot K Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Mein 

Na Samjho Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi 
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan Aankhon Mein 

Milay The Baad Muddat K Humain Tum Ajnabi Ban Kar 
To Kaise Dard Na Uthta Meri Hairaan Aankhon Mein?

Nahi Ab Phir Se Koi Raabta Rakhne Se Kuch Haasil 
K Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan Aankhon Mein...!!!

Monday, 25 July 2011

Jo Utar Ke Zeenaa-E-Shaam Se Terii Chashm-E-Khush Mein Samaa Gaye

Jo Utar Ke Zeenaa-E-Shaam Se Terii Chashm-E-Khush Mein Samaa Gaye 
Wahii Jalate Bujhate Se Mahar-O-Maah Mere Baam-O-Dar Ko Sajaa Gaye 

Yeh Ajiib Khel Hai Pyar Kaa Main Ne Aap Dekhaa Yeh Mojezaa 
Woh Jo Lafz Mere Gumaan Mein They Woh Terii Zubaan Par Aa Gaye 

Woh Jo Geet Tum Ne Sunaa Nahiin Merii Umr Bhar Kaa Riyaaz Thaa 
Mere Dard Kii Thii Woh Daastaan Jise Tum Hansii Mein Uraa Gaye 

Woh Thaa Chaand Shaam-E-Visaal Kaa Ke Thaa Ruup Tere Jamaal Kaa 
Merii Ruuh Se Merii Aankh Tak Kisii Raushanii Mein Nahaa Gaye 

Yeh Jo Bandgaan-E-Niyaaz Hai Yeh Tamaam Hai Vo Lashkarii 
Jinhen Zindagii Ney Aman Na Dii To Tere Huzuur Mein Aa Gaye 

Tere Vaasavaaon Ke Fishar Mein Teraa Sharar-E-Rang Ujar Gayaa 
Merii Khvaahishon Ke Gubaar Mein Mere Maah-O-Saal-E-Vafaa Gaye 

Merii Umr Se Na Simat Sake Mere Dil Mein Itane Savaal They 
Terey Paas Jitane Jawaab They Terii Ik Nigaah Mein Aa Gaye

Mile Kaise Sadion Ki Pyaas Aur Paani

Mile Kaise Sadion Ki Pyaas Aur Paani, Zara Phir Se Kehna
Bari Dilruba Hai Yeh Saari Kahani, Zara Phir Se Kehna

Kahan Se Chala Tha Judaai Ka Saaya, Nahin Dekh Paaya
K Raste Men Thi Aansuon Ki Ravaani, Zara Phir Se Kehna

Hava Yeh Khabar Tu Sunaati Rahe Aur Main Sunta Rahun
Badalne Ko Hai Ab Yeh Mausam Khizaani, Zara Phir Se Kehna

Mukar Jaane Vala Kabhi Zindagi Men Khushi Phir Na Paaye
Yunhi Khatm Ker Len Chalo Yeh Kahani, Zara Phir Se Kehna

Samay Ke Samandar! Kaha Tu Ne Jo Bhi Suna, Par Na Samjhe
Javaani Ki Naddi Men Tha Tez Paani, Zara Phir Se Kehna...

Jab Aankh Men Kuch Khak Si Urti Nazr Aayi

Jab Aankh Men Kuch Khak Si Urti Nazr Aayi..!
Samjhe Sabhi Khush Fehm K Had-E-Safar Aayi..!

Ek Umr To Jaage Thay K Chhut Jaae Andhera..!
Pal Bhar Ko Lagi Aankh To Milne Ko Sahar Aayi..!

Maine To Warak Par Abhi Likhne Thay Kayi Naam..!
Dhundli Si Yeh Tasweer Kahan Se Nazar Aayi..!

Dil Men Hai Ajab Sa'at-E-No Roz Ka Aalam..!
Bhooli Hui Ek Yaad Sar-E-Shaam Ghar Aayi..!

Shayad Isse Kehte Hen Tammana Ki Talaafi..!
Honto'n Pe Tabassum Tha K Aankh Bhar Aayi..!

Palko'n Pe Na Aansu Na Sitaare Na Chragha'n..!
To Aaj Shab-E-Hijjr Meri Jaan Kidhar Aayi..!

Usne Bhi Kiya Raah Badalne Ka Eraada..!
Sad Shukr Mohabbat Bhi Kisi Mor Pe Aayi..!

Ik Rahat-E-Aizaaz Saji Teri Jabeen Par..!
Ik Tohmat-E-Peham Thi K "Mohsin" K Sar Aayi..!!
(Mohsin Naqvi)....!!

Tum Jo Keh Doo Tu Yeh Sitam Bhe

Tum Jo Keh Doo Tu Yeh Sitam Bhe Gawar Kar Lain
Log Kehty Hain Kay Ham Tum Say Kinara Kar Lain

Tum Nay Jis Haal E Preshan Say Nikala Hum Ko
Aasra Dy Kay Muhabbat Ka Sambhala Hum Ko
Sochtain Hain Wohi Haal Doobara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay. . . . .

Ab Tum Say Mulaqat Nahi Hony Ki
Mil Bhe Jain Tu Baat Nahi Hony Ki
Akhari Baar Zikar Tumhara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay . . . . .

Akhari Baar Khayalo Mein Basa Lain Tumko
Akhari Baar Kalayjy Say Laga Lain Tumko
Phir Apnay Tarapny Ka Nazara Kar Lain
Log Kehty Hain Kay. . . . .

Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hai Jagaya Mujhko,

Phir Kisi Yaad Ne Raat Bhar Hai Jagaya Mujhko,
Kia Saza Di Hai Mohabbat Ne Khudaya Mujhko,
Din Ko Araam Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi,
Jaane Kis Khaak Se Qudrat Ne Banaya Mujhko,
Dukh To Ye Hai K Zamane Mein Mile Ghair Sabhi,
Jo Mila Hai Wo Mila Ban Ke Praya Mujhko,
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Rone Ko,
Ghar Ki Deewaro Ne Seene Se Lagaya Mujhko,
Yun To Umeed-E-Wafa Tumse Nahi "Mohsin"
Phir Chiragho Ki Tarah Tum Ne Q Jalaya Mujhko....!!

Kuch Dil Ki Lägi Tm Chero

Kuch Dil Ki Lägi Tm Chero
Kuch Dil Lgänä Hm Sekhein

Küch Pyär Ki Bäten Tm Käro
Kuch Pyär Nibhänä Hm Sikhen

Küch Näzär Kä Ishärä Tm Käro
Kuch Änkh Milänä Hm Sekhen

Küch Jän Ki Bäzi Tm Lägäo
Kuch Jän Sy Jänä Hm Sekhen

Küch Milny Ki Tm Ääs To Do
Kuch Wäqät Py Änä Hm Sekhen

Wasi Shah

Main Logo’n Se Mulaqaton Ke

Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatai’n Bhuul Bhi jao’n
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon

Sar-e-Mehfil Nigahai’n Mujh Pe
Jin Logo’n Ki Parti Hyn

Nigaho’n k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwa’yat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalo’n
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon!!

Mohabatoon Mein Har Ik Lamha Wisal Ho Ga

Mohabatoon Mein Har Ik Lamha Wisal Ho Ga Ye Tay Howa Tha
.
Bichar K B Aik Dosre Ka Khayal Ho Ga Ye Tay Howa Tha

Ye Kia K Sanseen Ukhar Gayi Hein Safar K Aagaz Se Hi Yaaro

Koi B Thak Kar Na Raaste Mein Nidhal Ho Ga Ye Tay Howa Tha

Wohi Howa Na Badalte Mousmon Mein Tum Ne Hum Ko Bhola Dia

Koi B Rut Ho Na Chahtoon Ko Zawal Ho Ga Ye Tay Howa Tha

Juda Howe Hein To Kia Howa Phir Yehi To Dastor E Zindagi Hei

Judaioon Mein Na Kurbatoon Ka Malal Ho Ga Ye Tay Howa Tha

Chalo K Faizan Kashtioon Ko Jala Deein Gumnaam Sahiloon Per

K Ab Yahan Se Na Wapsi Ka Sawal Ho Ga Ye Tay Howa Tha

‎''''ANKHEN TOOT K BARSI THEIN'''

Kuch Badal Toot K Barsa Tha 
Kuch Ankhen Meri Purnum Thein 

Kuch Manzar Bheege Bheege They 
Kuch Palken Bojhal Bojhal Thien 

Kuch Dard Bara Bedardi Tha 
Kuch Boonden Pagal Pagal Thein 

Kuch Lehja Toota Toota Tha 
Kuch Baten Abhi Adhori Thein 

Kuch Wo Bhi Harana Chahta Tha 
Kuch Hum Bhi Harna Chahte They 

Kuch Rishte Dil K Nazuk They 
Jub Toote To Dil Toot Gaya 

PHIR SHUB BHAR '''SAWAN''' ROOTA RAHA 
OUR '''ANKHEN'''TOOT K BARSI THEIN **

Friday, 22 July 2011

Aabad Rahenge Veeraane, Shaadaab Rahengi Zanjeeren

Aabad Rahenge Veeraane, Shaadaab Rahengi Zanjeeren
Jab Tak Deewaane Zindaah Hain, Phuulengi Phalengi Zanjeeren
Aazaadi Kaa Darwaazaa Bhii Khud Hi Kholengi Zanzeeren
Tukre Tukre Ho Jaayengi Jab Hadd Se Barhengi Zanzeeren
Jab Sabke Lab Sil Jaayenge, Haathon Se Kalam Chhin Jaayenge
Baatil Se Lohaa Lene Kaa, Ailaan Kareingi Zanjeeren
Andhon Behron Ki Nagrii Mein Yuun Kaun Tawajjoh Kartaa Hai
Maahaul Sunegaa, Dekhegaa, Jis Waqt Bajengi Zanjeeren
Jo Zanjeeron Se Baahar Hain, Aazaad Unhen Bhi Mat Samjho
Jab Haath Katenge Zaalim Ke, Us Waqt Katengii Zanzeeren
Ye Taur Bhi Hain Sayyaadi Ke, Ye Dhang Bhi Hain Jallaadi Ke
Gar Aisaa Hi Maahul Rahaa,Phaileingi Badheingi Zanjeeren
Majbooron Ko Tarsaayengi, Yuun Aur Hamen Tarpaayengi
Zulfon Ki Yaad Dilaayeingi, Jab Lehraayengi Zanjeeren
Zanjeeren To Hat Jayengi, Haan, Inke Nishaan Rah Jayenge
Meraa Kyaa Hai, Zaalim, Tujhko Badnaam Karengi Zanjeeren
Le, De K Hafeez In Se Thiin, Ummiid-E-Wafaa Deewaanon Ko
Kyaa Hogaa Jab Deewaanon Se Naataa Torengi Zanjeeren

Hafeez Meeruti

Aa Gayii Yaad Sham Dhalte Hii

Aa Gayii Yaad Sham Dhalte Hii
Bujh Gayaa Dil Chiraagh Jalte Hii
Khul Gaye Shahr-E-Gham Ke Darvaaze
Ek Zaraa Sii Havaa Ke Chalte Hii
Kaun Thaa Tuu Ke Phir Na Dekhaa Tujhe
Mit Gayaa Khvaab Aankh Malte Hii
Tuu Bhii Jaise Badal Saa Jaataa Hai
Aks-E-Diivaar Ke Badalte Hii
 Munir Niazi

KAHA MAIN NE! SILA MERI WAFA KA TUJHSEY KYA NIKLA?

KAHA MAIN NE! SILA MERI WAFA KA TUJHSEY KYA NIKLA?
KAHA US NE! NATEEJA DIL LAGANE KA, BURA NIKLA?

KAHA MAIN NE! WAJAH KOI TERI IS BE-WAFAAI KI?
KAHA US NE! FIDA MUJHPAR KOI, TUJHSEY SIWA NIKLA!

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey

Mairi Hasti Mein Jo Likha Hai Mitaoon Kaisey 
Abb Tum Hi Bataao Ke Tumhein Bhulaoon Kaisey 

Log Kehtey Hain Ke Main Jo Hoon Woh Tum Hi To Ho 
Terey Honey Ko Main Sab Say Chupaoon Kaisey 

Jaagti Aankhon Say Bhi Daikhoon To Tera Sapna Daikhoon 
Apni Aankhon Mein Kissi Aur Ke Khwab Sajaoon Kaisey 

Main Jo Chaahoon Bhi To Keh Na Paaoon Kuch Bhi Tum Say 
Mairi Jo Halat Hai Woh Main Tujh Ko Sunaoon Kaisey !

Wo Khafa Hen Hum Se

‎( REHNE DO )
Wo Khafa Hen Hum Se To Khafa Hi Rehne 2
Hum Ko Unka Gunahgar Hi Rehne 2
Wo Samjhte Hen Hum Ne Chorr Diya Hy Unko,
Baat To Jhoot Hy Magar Such Hi Rehne 2
> Mudaton Mangi Hen Khuda Se Khushian Unki,
Jo Aata He ILzam Hum Pe To ILzam Hi Rehne 2
> Unki Shart Hy K Me Bewafa Banu,
Agr Khushi Miley Unko To Mujhe Bewafa Hi Rehne 2
> Aaye Ga Wqt To Dikhaen Ge Tum Ko Apna Khuloos,
Abhi Khamosh Hen, Hum Ko Bus Khamosh Hi Rehne 2.

Mohabbat Dil Main Hoti Hai

Mohabbat Dil Main Hoti Hai 
Mohabbat Karne Wale Dil 
Kabhi Bichrra Nahi Karte 
Juddaiyaan Aa Bhi Jaati Hain 
Khushiyaan Rooth Bhi Jaati Hain 
MAGAR.......!!!!! 
Jab Kisi Dil Main 
Kisi Ki Yaad Baaki Ho 
To Mohabbat Karne Wale Dil 
Kabhi Toota Nahi Karte 
Mohabbat Karne Wale Bhi 

Kabhi Rootha Nahi Karte.............

Yon Lage Dost Tera Mujhse Khafa Ho Jana

yon lage dost tera mujhse khafa ho jana
jis tarah phul se khushbu ka juda ho jana

ahl-e-dil se ye tera tark-e-ta'alluq
waqt se pahle asiron ka riha ho jana

yon agar ho to jahan mein koi kafir na rahe
mojza tere wade ka wafa ho jana

zindagi main bhi chalunga tere piche-piche
tu mere dost ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jana

jane wo kaun si kaifiyat-e-gamkhwari hai
mere pite hi "Qateel" us ko nasha ho jana

(Qateel Shifai)