Saturday, 30 July 2011


Hawa Ke Zor Se Pindaar E Baam O Dar B Gaya
Chiragh Ko Jo Bachate They Un Ka Ghar B Gaya 

Pukaarte Rahe Mahfooz Kashtiyon Wale 
Main Dobta Hua Dariya Ke Par Utar B Gaya

Ab Ehtiyaat Ki Deevaar Kya Uthaate Ho 
Jo Chor Dil Mein Chupa Tha Wo Kaam Kar B Gaya 

Sulagte Sochte Veeraan Mausamon Ki Tarah 
Karra Tha Ehd E Javaani Magar Guzar B Gaya

Jise Bhulaa Na Sakaa Us Ko Yaad Kya Rakhta 
Jo Naam Dil Mein Raha Zehan Se Utar B Gaya 

Phati Phati Hui Aankhon Se Yun Na Dekh Mujhe 
Tujhe Talaash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar B Gaya 

Magar Falak Ki Adaavat Usi K Ghar Se Na Thi 
Jahaan Faraz Na Tha Sail E Gham Udhar B Gaya.

(Ahmed Faraz)

No comments:

Post a Comment