Friday, 22 July 2011

Khirrkiyan Kis Tarha Ki Hain, Aur Dar Kaisa Hai Wo

Khirrkiyan kis tarha ki hain, aur dar kaisa hai wo
Sochti hun jis mein wo rehta hai, ghar kaisa hai wo
Kaisi wo aab_o_hawa hai jis mein wo leta hai saans
Aata jata hai wo jis per, rah_guzer kaisa hai wo
Kaun see rangat k hain us k zameen_o_aasman
Chaon hai jis ki yahan tak, shajar kaisa hai wo
Main to us k ek ek lamhay ka rakhti hun shumaar
Aur meray haal_e_dil say kaisa bekhabar hai wo
Us ka hona he bohat hai, wo kahin hai to sahi
Kya sarokaar us say hai mujh ko, kaisa hai wo…. .

No comments:

Post a Comment