Friday, 29 July 2011

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai

Harf-e-Ranjish Pe koi Baat Bhi ho Sakti hai
Ain Mumkin hai Mulaqaat Bhi ho Sakti hai
Zindagi Phool hai Khushbu hai Magar Yaad Rahe
Zindagi Gardash-e-Halaat Bhi ho Sakti hai
Hum Ne ye Soch Ke Rakha Tha Qadam Gulshan Mein
Lala-o-Gul mein Teri Zaat Bhi ho Sakti hai
Chaal Chalte huwe Shtranj ki Baazi ke Usool
Bhool Jao ge tou Phir Maat Bhi ho Sakti hai
Aik tou Chhat ke Bina Ghar hai Hamhara Mohsin
Us pe Ye Khauf Ke Barsaat Bhi ho Sakti hai.

No comments:

Post a Comment