Monday, 18 July 2011

Mushkil hai ab shahar mein nikale koi ghar se

Mushkil hai ab shahar mein nikale koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hai hoti hui sar se

Barsaa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere kheit the jis abr ko tarse

Is baar jo eindhan ke liye kat ke giraa hai
chiriyon ko barra pyaar thaa us buurhe shajar se

Mehanat meri aandhi se to manasub nahin thi
rahnaa tha koi rabt shajar ka bhi samar se

Khud apne se milane ka to yaarana tha mujh mein
main bhir mein gum ho gai tanhaai ke Dar se

Benaam musaafat hi muqaddar hai to kyaa Gham
manzil ka ta'yyun kabhi hotaa hai safar se

Patthrayaa hai dil yun ki koi talism parhaa jaaye
ye shahar nikaltaa nahin jaadu ke asar se

Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi
suuraj bhi magar aayegaa is raah-guzar se

(Parveen Shakir)

No comments:

Post a Comment