Monday, 18 July 2011

Ek Dooje Kay Mukhalif Shahsawaron Ki Tarah

Ek Dooje Kay Mukhalif Shahsawaron Ki Tarah
Door Tak Chalte Rahe Hum Do Kinaron Ki Tarah,

Zehn Pe Chai Howi Hain Zindgi Ki Talkhiyaan
Khawahishen Barbaad Hain Ujre Dariyaaon Ki Tarah,

Soch Ki is Aag Se To Bach kar Chal Aye Humsafar
Pahel Jaati Hai Ragon Mein Yeh Sharaaron Ki Tarah,

Zehn Pe CHai Hai Jab Se Yeh Ghamon Ki Chaandni
Aankh Mein Sitare Chamakte Hain Sitaron Ki Tarah,

Zindgi Mein Chand Aysi Saa`ateen Bhi Thi "Zia"
Jab Khaza`aeen Bhi Nazar Aaen Baharon Ki Tarah.

No comments:

Post a Comment