Saturday, 2 July 2011

Tum Mere Dard Bhi, Gham Bhi, Mere Alaam Bhi Tum

Tum Mere Dard Bhi, Gham Bhi, Mere Alaam Bhi Tum
Tum Mera Chain Ho Jaana, Mera Aaraam Bhi Tum

Kamyaabi Ko Nahi Hum Ne Tum Ko Chaha Hai
Hum Tumharay Hain Bhalay Ho Gae Nakaam Bhi Tum

Main Maseeha Hoon Agar, Mera Wazeefa Tum Ho
Main Mujrim Hoon To Meri Jaan Mera Ilzaam Bhi Tum

Kya Zarurat Hai Mujhe Dard Kay Maykhanon Ki
Tumhi Nasha, Tumhi Pemaana, Mera Jaam Bhi Tum

Mukhtalf Hailon Bahanon Se Mujhe Sochtay Ho
Aik Din Khul Kay Pukaaro Gay Mera Naam Bhi TUm

Yeh Siyasat Bhi Ajab Khel Hai Bholay Panchi
Yahan Sayaad Bhi Tum Ho,To Tah-e-Daam Bhi Tum

Jis Say Roshan Mera Aangan Hai Tumhi Ho Wo Chiraagh
Sach To Yeh Hai Kay Tumhi Ghar Ho, Dar-o-Baam Bhi Tum

Raat Din Tumko Faqat Tumko Mujhe Sochna Hai
Meri Fursat Bhi Tumhi, Aur Mera Kaam Bhi Tum

No comments:

Post a Comment