Friday, 12 August 2011

Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko


Bandh Lein Hath Pe Senay Pe Saja Lein Tumko
Jee Mein Ata Hai K Taweez Bana Lein Tumko,

Phir Tumhein Roz Sanwarein, Tume Bharta Dekhein,
Kyun Na Angan Mein Chanbeli Sa Laga Lein Tumko,

Jaise Baghon Mein Koi Phool Chuna Karta Hai,
Ghar K Guldan Mein Phoolon Sa Saja Lein Tumko,

Kya Ajab Khuwaishain Uthti Hain Hamare Dil Mein,
Kar K Munna Sa Hawaon Mein Uchalein Tum Ko,

Is Qadar Toot K Tum Pe Hamain Pyaar Ata Hai,
Apni Behnon Mein Bharein Mar Hi Dalein Tumko,

Hai Tumare Liye Kuch Aisi Aqeedat Dil Ma,
Apne Hathon Mein Duaon Sa Utha Lein Tumko,

Jan Denay Ki Ijazat Bhi Nahi Detay Ho,
Warna Mar Jyein, Abhi Mar K Mana Lein Tumko

Ab To Bas Ek Hi Khuwaish Hai Kissi Mor Pe Tum
Hum KO Bikhray Huay Mil Jao Shanbalein Tum Ko...

2 comments:

  1. Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai,

    Barish Ke Har Qatre Se Awaz Tumhari Aati Hai.

    Badal Jab Garajte Hain, Dil Ki Dharkan Badh Jati Hai,

    Dil Ki Har Ek Dharkan Se Awaz Tumhari Aati Hai.

    Jab Tez Hawayein Chalti Hai To Jaan Hamari Jati Hai,

    Mausam Hai Barish Ka Aur Yaad Tumhari Aati Hai.

    Ye Baarisho’n K Mausam
    Bas Tum Hi Se Hyn Wabasta
    k Mohabbato’nMainBaarish
    Bari Lazmi Si Shey Hy

    Chahey Aasman Se Barsey
    Chahey Chashm-e-Nam Se

    Barish Ka Ye Mousam Koch Yaad Dilata Hai

    Kisi Kay Saath Honay Ka Ehsaas Dilata Hai

    Fiza Bhi Sard Hai Yaadain Bhi Taaza Hai

    Ye Mousam Kisi Ka Pyaar Dil May Jagata Hai

    Bheegi Hoye Raatain Khamosh Si Baatain

    Aisay Main Koch Kaho Tu Her Lafz Madhem Ho Jata Hai

    Barsat Ki Hain Bondain, Bondon May Hai Khushbo

    Ye Lumha Tu Dil Ka Ehsaas Chuu Jata Hai

    Aisay Main Tum Bhi Keh Do Dil Ki Baat

    Ye Mousam Tu Pal Bhar Main Beet Jata Ha

    ReplyDelete
  2. The song lyrics is the poetry of famous Pakistani poet Wasi Shah. Raza Ali composed it and Malik Imran Akhter mesmerising with his voice and is his first song ever.

    The song conveys feelings of Love, Betrayal and Loneliness.

    Bandh Lein Haath produced and directed by Ilma Production with collaboration of Fall Films (Sweden) & Studioworld09 (Pakistan) and Videographers: Shahzad Ansari (Sweden) | Pontus Fall (Sweden) | Qasim Suleman (Pakistan)

    Starring: Pooja Fulambrikar, Kristian Jänkälä, Maria Granström, Maria Bhardwaj, Karin Sandstedt, Vanessa Davidsson

    Choregographer: Maria Bhardwaj: Maria Bhardwaj is artistic director, choreographer and costume designer.
    Dance Group: Nritya Darpan
    Effects and Editing: Ilma Production

    Locations: Stockholm, Sweden - Islamabad, Pakistan

    Bandh Lein Haath is a original composition.
    https://www.youtube.com/watch?v=YhFndg991pk

    ReplyDelete