Ek Sardi Thi, Ek Pareshaani Thi
Woh Muhabat Nahi Bas Ek Nadani THi,
Jise Likha Aur Khud Hi Parh Liya Hum Ne
Zehni Ekhtaraaj Tha Ek Farzi Kahani Thi,
Aankhen Chundya Gaien Thi Ujaale Mein
Qadam Behak Gaye The Munh Zor Jawani Thi,
Hosh Ki Duniya Mein Jab Aankh Khuli THi Humari
Woh Pashemaan The Humen Bhi Hayraani Thi,
Sang Maara Jo Kisi Ne Qais Majnuu Ko
Jaa Laga Jahaan Woh Apni Hi Peshaani Thi,
Aqal Aai To Wajood Se Bhi Dar Lagta Hai
Eshq Mein Apni To Duniya Hi Deewani Thi,
Kiyoon Sunati Hai yeh Kahani Har Maa Apne Bachon Ko
Kaie Saal Guzre Ek Raaja Tha Ek Raani Thi

No comments:
Post a Comment