Monday, 1 August 2011

Kuch Bhi To Nahi Wesa

Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhy Socha Tha
Jitna Tujhy Chaha Tha
Socha Tha Tery Lub Per
Kuch Hurf Duaon K
Kuch Phool Wafaon K
Mehkyn Gay Meri Khatir
Kuch Bhi To Nahi Wesa
Jesa Tujhy Socha Tha
Mehsoos Yeh Hota Hy
Dukh Jheely Thy Jo Abb Tak
By-Naam Musafat Main
Likhny Ki Muhabbat Main
Perhny Ki Zaroorat Main
By-Sood Riyazat Thi
By-Faiz Ibadat Thi
Jo Khuab Bhi Dekhy Thy
In Jagti Ankhon Ny
Sab Khaam Khayali Thi
Phir Bhi Tujhy Pany Ki 
Dil K Kisi Gooshy Main
Khuahish To Bacha Li Thi
Lakin Tujhy Pa Ker Bhi
Or Khud Ko Gunwa Ker Bhi
Iss Hubs K Musam Ki Khirki Sy Hawa Aai
Na Phool Sy Khushboo Ki Koi Bhi Sada Aai
Aab Neend Hy Ankho Main
Na Dil Main Pehli Si Taza Sukhan-Aaraee
Na Lufz Mery Nikly
Na Hurf-0-Maani Ki Danish Mery Kaam Aai
NA-DEEDA RAFAQAT MAIN
JITNI BHI AZIYAT THI
Sab Mery Hi Naam Aai
Kuch Bhi To Anhi Wesa
Jesa Tujhy Soocha Tha
Jitna Tujhy Chaha Tha..!!

No comments:

Post a Comment