Tuesday, 16 August 2011

Zindagi Kay Mailay MeiN,


Zindagi Kay Mailay MeiN,
KhuwahishooN Kay Railay MeiN.
Tum Say Kiya KahaiN JaanaaN,
Es Qadar Jhamailay MeiN.

Waqt Ki Rawani Hay,
Bakht Ki Girani Hay.
Sakht Bay-Zameeni Hay,
Sakht Lamakani Hay.
Hijr Kay Samandar MeiN,
Takht Aur Takhtay Ki,
Ek Hi Kahani Hay.
Tum Kow Jo Sunani Hay,

Baat Goo Zara Si Hay,
Baat Umr Bhar Ki Hay.
Umr Bhar Ki BaataiN Kab,
Doo Ghardi MeiN Hoti HeiN.
Dard Kay Samandar MeiN,
Un-Ginnat Jazeeray HeiN,
Bay-Shumar Moti HeiN.
Aankh Kay Dareechay MeiN,

Tum Nay Jo Sajaya Tha,
Baat Us Diyay Ki Hay,
Baat Us Gilay Ki Hay,
Jo Lahoo Ki Khilwat MeiN,
Chor Ban Kay Aata Hay,
Lafz Ki FaseelooN Par,
Toot Toot Jaata Hay.
Zindagi Say Lambi Hay,

Baat Rat-Jagay Ki Hay.
Rastay MeiN Kaisay Ho,
Baat Takhliyay Ki Hay.
Takhliyay Ki BaatooN MeiN,
Guftagoo Izafi Hay.
Piyar Karnay WalooN Kow,
Ek Nigah Hi Kafi Hay.

Ho Sakay Tow Sun Ja'oo,
Ek Din Akailay MeiN.
Tum Say Kiya KahaiN JanaaN,

Es Qadar Jhamailay MeiN!

No comments:

Post a Comment