Wednesday, 1 December 2010

apnii soii hui duniaa ko jagaa luuN to chaluuN

apnii soii hui duniaa ko jagaa luuN to chaluuN
apne GhamKhane meN ek dhuum machaa lunn to chaluuN
aur ek jaam-e-ma’e talKh chaRha luuN to chaluuN
abhi chaltaa huuN zara khud ko sambhaaluuN to chaluuN

jaane kab pii thii abhi tak hai Gham-e-ma’e ka Khumaar
dhundhlaa dhundhlaa sa nazar aata hai jahaan-e-bedaar
aaNdhiyaaN chaltii haiN duniyaa hui jaati hai Ghubaar
aaNkh to mal luuN zara hosh meN aa luuN to chaluuN

voh meraa sahar voh ejaaz kahaaN hai laana
merii khoii huii aavaaz kahaaN hai laana
voh mera TuuTaa hua saaz kahaaN hai laana
ek zaraa giit bhi is saaz pe gaa luuN to chaluuN

maiN thakaa haaraa tha itne meN jo aaye baadal
kisii matvaale ne chupke se baRhaa di botal
uf voh rangiiN pur-asraar khayaloN ke mahal
aise do-chaar aur mahal bana luuN to chaluuN

merii aaNkhoN meN abhi tak hai mohabbat ka ghuruur
mere honToN ko abhii tak hai sadaaqat kar ghuruur
mere maathe pe abhii tak hai sharaafat ka ghuruur
aise vahmoN se Khud ko nikaaluN to chaluuN



Moin Ahsan Jazbi

No comments:

Post a Comment