Wednesday, 1 December 2010

theek hai kuch hasratain aisai bhi karti hain


Woh boli,
aarzooain dil ke andar bain karti hain,
Main bola,

theek hai mujh ko sunai detai rehtai hain.
Woh boli, 
hum to jaisai ik musalsal dukh kai qaidi hain,
Main bola,
theek hai yeh zindagi dukh ka tasalsul hai.
Woh boli,

koi shab to khwab main bhi khwab atay hain
Main bola,

theek hai kuch hasratain aisai bhi karti hain.
Woh boli,

raat kiun mushkil se kat’ti hai judai main
Main bola,

waqt to kaifiyatton ka naam hota hai.
Woh boli,

chahaton main dard ke rehnai ki khwahish kiun?
Main bola,

dard ke marai hu’oan ko chen milta hai
Muhabbat besbab tarpai rakhti hai, kaha us nai,
Kaha main nai

keh yeh asbab kya shai hain muhabbat main?
Woh kehti hai
hawa ke hath main kya kya nhin ata?
Main kehta hun,
jo dehleezon ke andar dafn hota hai.
Woh kehti hai,

tumharai ba’ad kiun barish nhin hoti?
Main kehta hun,

meri jan, hijr sehra’oan main rehta hai.
Woh boli,

kya ye sab kuch it’tafaqan hai tumhara gham?
Main bola,

ye bhi mumkin hai, ye sab kuch ihtaraman ho?
Woh kehti hai,

tumhain kiun khauf ata hai hawa’oan sai?
Main kehta hun,

Surabi! Deep to aisai hee hotay hain.
Woh kehti hai,

chalo Farhat hawa ke saath chaltai hai,
Main khamoshi se,

us ke saath chal deta hun bujhnai ko.
Woh kehti hai,

mujhai yeh soch kar batla main kaisi hun?
Main kehta hun,

Surabi! Sochnai main waqt lagta hai!!
Woh mujh sai poochti hai,

badlon ko kab bulao gay?
Main kehta hun,

tumhain jab dhoop ka mausam satai ga.
Woh mujh sai poochti hai,

panchiyon sai aashnai hai?
Main kehta hun,

ke ashkon ki qataron sai bhi waqif hun..
Woh kehti hai,

shabin dhokai main rakhti hai hamesha hee,
Main kehta hun,

kahin ye to nhin dhoka dino main ho??
Woh kehti hai,

tumhari kuch dua bhi to koi ho gi?
Main kehta hun,

jahan tum ho, ye ratain bhi wahin hoteen!
Sitaray dekhnai atay mujhai teri muhabbat main,
Woh kehti hai,

sitaray aur spnai jhoot hotay hain!!!!
Woh boli,

kuch likhoon to ungliyon sai khoon rista hai,
Main bola,

main to aisay main bhi apnai dil sai likhta hun.
Woh kehti hai,

bala’ain jab bhi mera naam leti hain,
Main kehta hun,

tujhai meri dua’ain thaam leti hain!
Woh mujh sai poochti hai,

mujh sai batain kiun nahin kartay???
Main kehta hun,

abhi to dekhnai ki manzilon par hun.
Woh mujh sai poochti hai,

pyar ka matlab batao gay?
Main kehta hun ke

har ik baat ka matlab nhin hota.....
Woh boli,

dooriyan to kuch muhabbat qamm nhin karti,
Main bola,

han, magar milnai ki khwahish ko barhati hain!
Woh boli,

saath bandh janai sai behtar hai bichar ja’ain!
Main is ki baat par dukh se hansa aur kuch nhin bola.
Woh mujh sai poochti hai, 

kon sooraj main sulagta hai?
Woh mujh sai poochti hai aur dil ko thaam leti hai!
Woh mujh sai poochti hai

almiya kya cheez hoti hai?
Main kehta hun, 

muhabbat aur nafrat, zindagi aur maut hai shayad..
Woh boli, 

dard se aksar koi awaz ati hai!
Main us sai poochta hun, 

kon bichra hai jawani main?
Woh boli, 

sardiyon main dhoop ki hiddat kabhi dekhi?
Main bola, 

tum nai merey lams ki shiddat kabhi dekhi?
Woh boli,

barishon main shehr dhul jata hai lamhon main,
Main bola,

haN! Magar ankhain bohat thak jaya karti hai!
Woh kehti hai, 

main apnai dil main ik deewar uthaaon ge!!
Main kehta hun 

ke main iss baat ka matlab nhin samjha?
Woh kehti hai, 

suno Farhat, mujhai tumm sai muhabbat hai!
Main kehta hun meri jan, 

tum to khud meri riyazat ho!
Woh kehti hai, 

yeh sarai log kiun batain banatay hain?
Main kehta hun, 

meri jan, yeh muhabbat ka muqaddar hai.
Main kehta hun, 

muhabbat qa’inati geet hoti hai,
Woh thora gunguna kar, 

aansoo’oan main doob jati hai.....
Woh boli dard ke uss paar bhi ik dard hota hai?
Main is ke baad kitni

der takk kuch bhi nhin bola......!!!!

No comments:

Post a Comment