Wednesday, 1 December 2010

Shahar ki raat aur

Shahar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroon
Jagmagati jaagati sarko peh aawara phrioon
Ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phiroon
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
Raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
Maire seene par magar chalati hui shamsheer si
Ai gham-e-dil kya karoon ai wahshat-e-dil kya karoon
Yeh roophali chhaon yeh aakash par taaron ka jaal
Jaise soofi ka tasavvur jaise aashique ka khayaal
Aah lekin kaun jaane kaun samjhe jee ka haal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raat hans hans kar yeh kahati hai keh maikhane mein chal
Phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane mein chal
Yeh nahin mumkin to phir ai dost veerane mein chal
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Har taraf hai bikhari hui, Ranginiyaan, raanaiyaan
Har qadam par isharaten leti hui angraiyaan
Barh rahi hai god phailai hue ruswaian
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Raste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahin
Laut kar vaapas chala jaaoon, meri fitrat nahin
Aur koi hamnawa mil jai yeh qismat nahin
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
Jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
Jaise muflis ki jawani jaise bewah ka shabaab
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon

Muflisi aur yeh mazahir hain nazar ke samane
Saikaron Changez-O-Naadir hain nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
Ai gham-e-dil kya karoon, ai wahshat-e-dil kya karoon
Barh ke is indarsabha ka saz-o-saman phoonk doon
Is ka gulshan phoonk doon us ka shabistan phoonk doon
Takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan Phoonk doon
Ai gham-e-dil kya kaoon, ai wahshat-e-dil kya karoon..

****************************************

No comments:

Post a Comment