Wednesday, 1 December 2010

Sada Jisay Ik Aag Mein Jalte Rehna Hai

Aag mein liptay kuch shabdon se

Mein ne kabhi ik nazam likhi thi

Jane kia tha un harfon mein

Ansoo meri palkon tak jal ker pohanche the

Kain dinon tak aanch mere aanchal mein rahi thi

Aaj laga hai

Jesay mein wo jalti nazam hun

Jis ko dast-e-abr-o-saba se likhe na jane ka shikwa hai

Dasht mein hun aur aab ka payala

Mere hath se chout chuka hai

Barish ka aor pyas ka rishta barson pehle toot chuka hai

HAn ik badal hai jo mujh ko

Apni oak se kabhi kabhi ik do boondein de ker kehta hai

"Mein Tera Hoon"

Us ko kesay samjhaon???

Aye re badal tu to sub ka

Teri rah mein mujh se pehle kitne gul bootay aate hain

Tujh pe mera haq he kia hai

Mein to apne RAB ki jalti

Maati se likhi wo nazam hun

"Sada Jisay Ik Aag Mein Jalte Rehna Hai"...!!!

No comments:

Post a Comment