Wednesday, 1 December 2010

Main Jidher Gia Main Jahan Raha...!!

Main Jidher Gia Main Jahan Raha
Maray Saath Thaa
Wouhi Aik Saya-E-Mahrbaan
Wou Jou Aik Parda-E-Abr Thaa Sar-E-Asmaan
Pas-E-Her-Gumaan
Wou Jou Aik Harf-E-Yaqeen Thaa
Maray Her Safar Kaa Ameen Thaa
Wou Jou Aik Baagh-E-Irum-Numa
Sabhi Mosamon Main Hara Raha
Wo Ujarr Gia
Wo Jou Aik Duaa Kaa Charaagh Saa Maray Raaston
Main Jalaa Raha
Wo Bikhar Gia
Maray Ghum Ko Jurr Say Ukhaarta
Wo Jo Aik Lams-E-Aziz Thaa
Kisi Kapkapaatay Say Haath Ka Wo Nahi Raha
Wo Jo Aankh Rahti Thi Jagti Maray Naam Per
Wo So Gaee!
Wo Jo Ek Duaa-E-Sakoon Thi Maray Rakht Main Wohi Kho Gaee
Ay Khudaa-Ey-Wahda-O-Lum-Yaazil
Taray Aik Harf Ke Say-D Hain
Yay Zamaan Makaan!
Teray Faislon Ke Hazoor Main
Naa Majal Hay Kisi Uzr Ki, Na Kisi Ko Taab-E-Sawal Hay
Yeh Jo Zindagi Ki Mataah Hay
Teri Dain Hay, Tera Maal Hay
Mujhay Hay To Itna Malaal Hay!
Ke Jab Iski Saa-At-E-Aakhri Sar-E-Raah Thi
Main Wahaan Na Thaa!
Maray Raston Say Nikal Gai Wo Jo Aik Ja-E-Panaah Thi
Main Wahaa Naa Tha!
Sar-E-Shaam Ghum Mujhay Dhoondhti Mari Maan Ki Bujhti Nigaah Thi
Main Waha Naa Thaa!
Maray Chaar Soo Hay Dhuwaan Dhuwaan
Maray Khuwab Say Meri Aankh Tak
Yeh Jo Sail-E-Ashk Hay Darmian
Usi Sail-E-Ashk Ke Paar Hay
Kaheen Mari Maan!
Teray Rehm Ki Nahi Hud Koi
Teray Afuu Ki Nahi Intehaa
Ke Tu Maa Say Burh Ke Shafeek Hay
Wo Rafeeq Hay
Ke Jo Saath Ho To Yeh Zindagi Ki Musaftain
Yeh Azi-Atain, Yeh Rukawatain
Faqat Ek Nigaah Ki Maar Hain
Yeh Jo Khaar Hain
Teray Dast-E-Moj-Zaa-Saaz Hain
Gul-E-Khush Jamal-E-Bahar Hain
Meri Iltejaa Hay To Bas Yehi
Meri Zindagi Ka Jo Waqt Hay, Katay Uski Ujli Dua-On Main
Teray Derguzar Ke Huzoor Main
Teri Barkton Ke Hisaar Main!
Wo Jo Khaas Chashm-E-Karam Main Hay
Isi Roshni Ki Qataar Main!
Kisi Cheez Ki Bhi Kami Nahi
Teri Bakh-Shishoun Ke De-Yaar Main!
Meri Maan Ki Rooh-E-Jameel Ko
Sada Rakhna Apnay Jawaar Main!
Sada Purfiza Wo Lahad Rahay,
Taray Lutf-E-Khaas Ki Chhayon Main



Amjad Islam Amjad

No comments:

Post a Comment