Monday, 1 August 2011

Ay Mohabbat teri Kismat k Tujhay Muft Milay Hum

Ay Mohabbat teri Kismat k Tujhay Muft Milay Hum,
Humsay Dana jo Kamalaat Kiya Kartay Thay,
Khushk Mitti ko Amaraat Kiya Kartay Thay,
Ay Mohabbat Ye tera Bakht k Bin Mol Milay Hum,

Humsay Anmol jo Heeron Mein Tula Kartay Thay,
Humsay Moh Zoor Jo Bhonchal Utha Kartay Thay,
Ay Mohabbat Hum teray hi Mujrim Thehray,

Hum jo Logon say Sawalaat Kiya Kartay Thay,
Hum jo So Baat ki Aik Baat Kiya Kartay Thay,
Teri Tehweel Mein Aaney say Zara Pehlay Tak,
Hum Isi Shehar Mein Izzat say Jiya Kartay Thay,
Hum Bigartay to Kai Kaam Bana Karte Thay,

Aur Ab.....
Teri Sakhawat k Ghaney Saa'ey Mein,
Khalqat-e-Shehar ko Hum Zinda Tamasha Thehray,
Jitnay Ilzaam Thay Maqsom Hamaray Thehray,
Ay Mohabbat Zara Andaaz Badal Lay Apna,
Tujh ko Aaeinda Bhi Ushak ka Khoon Peena Hai,
Hum to Mar Ja'ein Gay,
Tum Ko to Magar Jeena Hai,
Ay Mohabbat teri Kismat k Tujhay Muft Milay Hum.......

1 comment:

  1. Hum kahan se aa gya bhie

    sara wazan hi khrab kar diya

    ReplyDelete