Monday, 1 August 2011

Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi

Meri Zindagi To Firaaq Hai, Wo Azal Se Dil K Makeen Sahi
Wo Nigah-E-Shoq Se Door Hai, Rag-E-Jaan Se Laakh Qareeb Sahi

Hamain Jaan Deni Hai Ek Din, Wo Kisi Tarah Wo Kahin Sahi
Hamain Aap Khinchey Daar Per. Jo Nahi Koi To Hum Hi Sahi

Sar-E-Toor Ho, Sar-E-Hashar Ho, Hamain Intizaar Qabool Hai
Wo Kabhi Miley, Wo Kahin Miley, Wo Kabhi Sahi, Wo Kahin Sahi

Na Ho Un Per Jo Mera Bus Na Sahi, Keh Yeh Aashqi Hai Hawas Nahi
Main Unhi Ka Tha, Main Unhi Ka Hoon, Wo Mere Nahi To Na Sahi

Jo Ho Faisla Woh Sunaaiye, Usey Hashar Per Na Uthaaiye
Jo Karain Ge Aap Sitam Wahan, Wo Abhi Sahi, Wo Yahin Sahi

Usey Dekhne Ki Jo Loo Lagi, To ‘Naseer’ Dekh Hi Lain Ge Hum
Wo Hazaar Aankh Se Door Ho, Wo Hazaar Parda-Nasheen Sahi

No comments:

Post a Comment