Saturday, 3 September 2011

Aankhon Pay Khulay Hain Pankh Iss Kay


Aankhon Pay Khulay Hain Pankh Iss Kay
Ik Aas Mujhay Sula Rahi Hai

Chhatri Pay Sajay Hain Kuchh Kabootar
Aur Chandni Jhhilmila Rahi Hai

Thhandak Hai Badan Mein Iss Bala Ki
Ab Barf Mujhay Jala Rahi Hai

Kis Shakl Ko Bhoolnay Lagi Main
Kya Zeest Mujhay Bhula Rahi Hai

Peeni Hai Nabeez-E-Ishq Mujh Ko
Woh Aankh Agar Pila Rahi Hai

Phir Zindgi Jaisay Dartay Dartay
Ranngon Say Nazar Mila Rahi Hai

Samina Raja

No comments:

Post a Comment