Thursday, 1 September 2011

Dasht Mein Ik Talism-E-Aab Kay Sath

Dasht Mein Ik Talism-E-Aab Kay Sath
Door Tak Ham Gaey Sarab Kay Sath

Phir Khizan Aaei Aur Khizan Kay Bad
Khaar Khilnay Lagay Gulab Kay Sath

Raat Bhar Toot'ti Huwi Neendein
Jur Gaein Sehr-E-Mahtab Kay Sath

Ham Sada Ki Tarah Bujhay Huway Thay
Woh Tha Pehli Si Aab-O-Taab Kay Sath

Chhoti Umron Ki Pehli Pehli Baat
Kuchh Takalluf Say Kuchh Hijab Kay Sath

Aur Phir Yeh Nigah-E-Kheera Bhi
Doob Jaey Gi Aaftab Kay Sath

Raat Ki Tashtari Mein Rakhi Hain
Meri Aankhein Kisi Kay Khwab Kay Sath

Us Gali Mein Na Koei Kesay Jaey
Shaam Ko Is Dil-E-Kharab Kay Sath

Yeh Faqat Rasm Hi Nahin Ay Doast!
Dil Bhi Shamil Hai Intasab Kay Sath



Samina Raja

No comments:

Post a Comment