Tuesday, 6 September 2011

Ajnabi Aa'o! Dekho, Umangon Ki Naokhez Kalyan

Ajnabi Aa'o

Ajnabi Aa'o!
Dekho, Umangon Ki Naokhez Kalyan
Jo Murjha Rahi Hain,

Tumharay Liay Waqt,Chanchal Parinda
Meray Saans Pathar Talay Dabb Rahay Hain
Meri Umr Kuchh Katt Chuki Hai
Jo Baqi Hai-Ik Karb Mein Katt Rahi Hai

Agar Ajnabi Tumm Na Aa'o---
To Peghaam Bhejo
Agar Ko'ei Chanchal Parinda Milay
Waqt Ka
Uss Ki Gardan Mein Bandho
Ko'ei Sabz Kaghaz
Ko'ei Sabz Kaghaz Ke Jiss Parr Likho
Apnay Hathon
Anokhi,Purasrar,Sabb Ranng Tehreer

Phir Woh Parinda-Meri Samt Bhejo
To Phir Ajnabi! Woh Parida
Agar Ho Sakay To
Meray Saans Pathar Talay Say Nikalay
Mera Karb Chakhay

Woh Kaghaz, Tumhari Purasrar,Sabb Ranng
Tehreer Wala,
Ko'ei Sabz Taweez Karr Kay
Meri Sooni Gardan Mein Dalay!

Samina Raja

No comments:

Post a Comment