Wednesday, 7 September 2011

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo,

Insha Ji ! Uththo ! Ab Kuuch Karo, Is Sha’hr Men Jii Kaa Lagaanaa Kyaa
Vahshii Ko Sukuun Se Kyaa Matlab, Jogii Kaa Nagar Men Thikaanaa Kyaa

Is Dil Ke Dariidaa-Daaman Ko Dekho To Sahii, Socho To Sahii
Jis Jholii Men Sau Chhed Hue Us Jholii Ko Phailaanaa Kyaa

Shab Biitii, Chaand Bhii Duub Gayaa, Zanjiir Parii Darvaaze Men
Kyun Der Gaye Ghar Aaye Ho, Sajnii Se Karoge Bahaanaa Kyaa

Us Husn Ke Sachche Motii Ko Ham Dekh Saken, Par Chhuu Na Saken
Jise Dekh Saken Par Chhuu Na Saken Vo Daulat Kyaa Vo Khazaanaa Kyaa

Us Ko Bhii Jalaa Dukhte Hue Man, Ik Sholaa Laal Bhabhuukaa Ban
Yun Aansuu Ban Beh Jaanaa Kyaa, Yun Maatii Men Mil Jaanaa Kyaa

Jab Sha’hr Ke Log Na Rasta Dekhen, Kyun Ban Men Na Jaa Vishraam Kare
Diivaanon Kii Sii Na Baat Kare, To Aur Kare Diivaanaa Kyaa

1 comment:

  1. Huge Collection of Short Urdu Poetry with beautiful and Designed Graphics. Two Lines Urdu Poetry, Urdu Shayari, Urdu Shairy, And Much More. Latest Short Urdu Poetry

    ReplyDelete