Saturday, 3 September 2011

Merey Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse


Aj Tery Liye Eik Mazeer E Ulfat Hi Sahi. . . 
Tujhko Iss Vaadi-E-Rangeen Se Aqeedat Hi Sahi. . . 

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse. . . !!!


Bazm-E-Shahi Mein Gareebon Ka Guzar, Kya Maani?
Sabt Jis Raah Pe Ho Satavat-E-Shaahi Ke Nishaan. . . 
Uss Pe Ulfat Bhari Rooho Ka Safar Kya Maani?

Mery Mehboob Pas-E-Parde-E-Tash Heer-E-Wafa. . . 
Toone Satavet Ke Nishano Ko Too Dekha Hota. . . 
Murda Shahon Ke Maqabir Se Behalne Waaly. . . 
Apne Taarek Makanon Ko Too Dekha Hota. . . 

Anginat Logon Ne Duniya Mein Mohabbat Ki Hai. . . 
Kaun Kehta Hai Ke Sadiq Na They Jazbe Unke. . . 
Lekin Unke Liye Tash Heer Ka Samaan Nahin. . . 
Kyon K Woh Log Bhi Apni Hi Tarah Muflis They. . . 

Yeh Imarat-O-Maqabir, Yeh Faseele, Yeh Hisaar. . . 
Mutal-Kul-Hukm Shehenshahon Ki Azmat Ke Sutoon. . . 
Daaman-E-Dehar Pe Us Rang Ki Gulkari Hai. . . 
Jisme Shaamil Hai Tere Aur Mere Ajdaad Ka Khoon. . . 

Mery Mehboob! Unhe Bhi Too Mohabbat Hogi. . . 
Jinki Sannai Ne Baqshi Hai Isse Shakl-E-Jameel. . . 
Unke Pyarron Ke Maqabir Rahe Be-Naam-O-Namood. . . 
Aaj Tak Un Pe Jalai Na Kisi Ne Kindeel. . . 

Yeh Chamanzaar, Yeh Jamna Ka Kinara, Yeh Mahal. . . 
Yeh Munakkash Dar-O-Deewar, Yeh Mehraab, Yeh Taaq. . . 
Eik Shehenshah Ne Daulat Ka Sahara Lekar. . . 
Hum Ghareebon Ke Mohabbat Ka Udaya Hai Mazak. . . 

Mery Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujhse. . . !!!

No comments:

Post a Comment