Saturday, 6 August 2011

Qissa Abhi Hijab Se Aage Nahin Barha

Qissa Abhi Hijab Se Aage Nahin Barha,
Main Aap, Wo Janab Se Aage Nahin Barha..
Muddat Hui Kitab-e-Mohabat Shuroo Kiye,
Lekin Main Pehle Baab Se Aage Nahin Barha..
Lambhi Musaftain Hain Magar Is Sawaar Ka,
Paaon Abhi Rakaab Se Aage Nahin Barha..
Logon Ne Sang-o-Khasht K Qiley Bna Liye,
Apna Mehal To Khwab Se Aage Nahin Barha..
Tool-e-Kalaam K Liye Maine Kiye Sawal,
Wo Mukhtasar Jawab Se Aage Nahin Barha..
Rukhsar Ka Pata Nahin, Ankhain To Khoob Hain,
Deedar Abhi Naqaab Se Aage Nahin Barha..
Wo Lazzat-e-Gunah Se Mehroom Reh Gaya,
Jo Khwahish-e-Sawab Se Aage Nahin Barha.

No comments:

Post a Comment